Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shairon

Zeeshan Sahil

shairon

Zeeshan Sahil

MORE BYZeeshan Sahil

    va.ada karo shā.iroñ

    aglī jañg-e-azīm shurūa hone se pahle

    tum hamāre ghoḌoñ ke pīchhe pīchhe bhāgnā

    aur hamārī talvāroñ ko uThānā siikh jāoge

    dhaat se banī chīzoñ ko

    chamkāne vaalī polish ke martabān

    ham tumhāre ghar pahuñchā deñge

    aur tum zindagī bhar

    hamārī Topiyoñ aur tamġhoñ ko

    āsmānī chamak dete rahoge

    apne dil par haath rakh kar

    sachche dil se halaf uThāo shā.er

    ki hamāre jañgī tayyāroñ aur mīzā.iloñ ke sivā

    kisī tārīf nahīñ karoge

    hamārī bandūqoñ aur Tankoñ nāloñ meñ

    kisī ko phuul nahīñ rakhne doge

    hamārī topoñ aur jūtoñ dhamak ke sivā

    koī aur āvāz nahīñ sunoge

    aglī jañg-e-azīm elaan

    hamāre saath likho shā.iroñ

    jañgī tarānoñ ke bol

    hamāre saath doharāo shā.iroñ

    jab jañg shurūa hogī

    hamārī talvāreñ hameñ de denā

    jab dushman hamla karegā

    ham apne ghoḌoñ par savār

    pīchhe taraf dauḌeñge

    shā.iroñ

    marne ke liye tayyār rahnā

    wada karo shairon

    agli jang-e-azim shurua hone se pahle

    tum hamare ghoDon ke pichhe pichhe bhagna

    aur hamari talwaron ko uThana sikh jaoge

    dhat se bani chizon ko

    chamkane wali polish ke martaban

    hum tumhaare ghar pahuncha denge

    aur tum zindagi bhar

    hamari Topiyon aur tamghon ko

    aasmani chamak dete rahoge

    apne dil par hath rakh kar

    sachche dil se halaf uThao shaer

    ki hamare jangi tayyaron aur mizailon ke siwa

    kisi ki tarif nahin karoge

    hamari banduqon aur Tankon ki nalon mein

    kisi ko phul nahin rakhne doge

    hamari topon aur juton ki dhamak ke siwa

    koi aur aawaz nahin sunoge

    agli jang-e-azim ka elan

    hamare sath likho shairon

    jangi taranon ke bol

    hamare sath doharao shairon

    jab jang shurua hogi

    hamari talwaren hamein de dena

    jab dushman hamla karega

    hum apne ghoDon par sawar

    pichhe ki taraf dauDenge

    shairon

    marne ke liye tayyar rahna

    Source :
    • Book : saarii nazmen (Pg. 764)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now