shaKH-e-adam
suno ye nazm kabhī nahīñ ho saktī
aur tum jānte ho
jab jazbe adhūre rah jaa.eñ
to zamīneñ banjar ho jaatī haiñ
vaqt guzrā kahāñ
zaḳhm vaise hī abhī riste haiñ
dil bhar aayā us jagah
jahāñ mohabbat nā-mohabbat se milī
jab vajūd ek savāl banā
jab ruuh ne jism kā saath chhoḌ diyā
jab duāoñ meñ tāsīr na rahī
qadam baḌhe to bahut ḳhulūs se the
jānte the ki raah kaThin hai
safar dushvār hai
bas ik aas thī
ki ye safar rā.egāñ to nahīñ
ham akele to nahīñ
hamāre saath chalne kī chaah meñ
hamārā safar bhī hai
magar nahīñ jānte the
ki ham to apne aap se judā ho ga.e
ham na jaan sake
ki miTTī se vo mahak hī uTh ga.ī
jo dil ko dil se milātī hai
so ab tak likhī ga.ī har nazm
nā-mukammal hī to hai
kisī pīr-dānā ne kahā thā
bahut sī nāgavār āvāzeñ
tumhāre dhyān ko bhaTkā.egīñ
magar tum pīchhe muḌ ke mat dekhnā
varna patthar ke ho jāoge
so ai pīr-dānā
maiñ nahīñ dekhtī pīchhe muḌ ke
jab āvāzeñ mere dil ko hadaf banātī haiñ
maiñ jāntī huuñ
ye āvāzeñ mujhe tañg karne ke liye haiñ
ye mujhe roknā chāhtī haiñ aage baḌhne se
duniyā ke har bure maqsad ke aaḌe aatī haiñ
ye āvāzeñ
ye kāñToñ bharī āvāzeñ
jo lahūluhān kar detī haiñ ḳhulūs bhare dil ko
jaise kholtā huā paanī jalā detā hai khaal ko
aise hī jalāyā hai in āvāzoñ ne
duniyā se har ehsās ko
lekin
maiñ ne bachāyā apne sach ko
aur chaltī jā rahī huuñ
sab se alag
sun ke anjān rahne kā amal kuchh itnā āsān to nahīñ
bas ek dīvāngī hai
jo mujhe bechain kiye hue hai
ek ajab sī khoj hai
jo ghuTan ban ga.e haiñ saañs lene ke amal meñ
magar tū kahāñ hai pīr-dānā
to jo rahnumā thā
musībat ke māroñ kā
kahāñ bhaTak rahā hai
to kyā kal yug kī vo ghaḌī aa ga.ī
ki pīr-dānā ko shikār kar le ga.iiñ
nā-gavār āvāzeñ
afsos-sad-afsos
suno ye nazm kabhi nahin ho sakti
aur tum jaante ho
jab jazbe adhure rah jaen
to zaminen banjar ho jati hain
waqt guzra kahan
zaKHm waise hi abhi riste hain
dil bhar aaya us jagah
jahan mohabbat na-mohabbat se mili
jab wajud ek sawal bana
jab ruh ne jism ka sath chhoD diya
jab duaon mein tasir na rahi
qadam baDhe to bahut KHulus se the
jaante the ki rah kaThin hai
safar dushwar hai
bas ek aas thi
ki ye safar raegan to nahin
hum akele to nahin
hamare sath chalne ki chah mein
hamara safar bhi hai
magar nahin jaante the
ki hum to apne aap se juda ho gae
hum na jaan sake
ki miTTi se wo mahak hi uTh gai
jo dil ko dil se milati hai
so ab tak likhi gai har nazm
na-mukammal hi to hai
kisi pir-dana ne kaha tha
bahut si nagawar aawazen
tumhaare dhyan ko bhaTkaegin
magar tum pichhe muD ke mat dekhna
warna patthar ke ho jaoge
so ai pir-dana
main nahin dekhti pichhe muD ke
jab aawazen mere dil ko hadaf banati hain
main jaanti hun
ye aawazen mujhe tang karne ke liye hain
ye mujhe rokna chahti hain aage baDhne se
duniya ke har bure maqsad ke aaDe aati hain
ye aawazen
ye kanTon bhari aawazen
jo lahuluhan kar deti hain KHulus bhare dil ko
jaise kholta hua pani jala deta hai khaal ko
aise hi jalaya hai in aawazon ne
duniya se har ehsas ko
lekin
main ne bachaya apne sach ko
aur chalti ja rahi hun
sab se alag
sun ke anjaan rahne ka amal kuchh itna aasan to nahin
bas ek diwangi hai
jo mujhe bechain kiye hue hai
ek ajab si khoj hai
jo ghuTan ban gae hain sans lene ke amal mein
magar tu kahan hai pir-dana
to jo rahnuma tha
musibat ke maron ka
kahan bhaTak raha hai
to kya kal yug ki wo ghaDi aa gai
ki pir-dana ko shikar kar le gain
na-gawar aawazen
afsos-sad-afsos
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.