thā to sarsabz, vo paudā to harā thā
aur tandurust thiiñ shāḳheñ bhī
magar us kā koī qad na nikal paayā thā
go bahut saal vo sīñchā bhī gayā
mere maalī ko shikāyat thī
kabhī phuul na aa.e us par
aur ka.ī saal ke ba.ad
mere maalī ne use khod nikālā hai zamīñ se
saare bāġhīche meñ phailī huī niklī haiñ jaḌeñ
barsoñ paale hue rishte kī tarah
jis kī shāḳheñ to harī rahtī haiñ lekin
us par, phuul phal aate nahīñ
tha to sarsabz, wo pauda to hara tha
aur tandurust thin shaKHen bhi
magar us ka koi qad na nikal paya tha
go bahut sal wo sincha bhi gaya
mere mali ko shikayat thi
kabhi phul na aae us par
aur kai sal ke baad
mere mali ne use khod nikala hai zamin se
sare baghiche mein phaili hui nikli hain jaDen
barson pale hue rishte ki tarah
jis ki shaKHen to hari rahti hain lekin
us par, phul phal aate nahin
- Book : Pukhraj (Pg. 85)
- Author : Gulzar
- Publication : Roopa Publications India Pvt. (2014)
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.