sham
tū aa ga.ī shaam
surma.ī vahshat o hazīmat ke saa.e saa.e
maiñ dard-hā-dard ik na.ī nazm bun rahā huuñ
daraḳht āseb-zādgāñ dev-paikarāñ
chahchahe karāheñ
ye paat nauhe pe sīna-kūbī meñ gum azā-dār
shāḳhche barchhiyoñ ke phal
ġhunche zaḳhm nā-āshnā-e-marham
ghane daraḳhtoñ meñ
zamzama-sāz apnī apnī dhunoñ ko tartīb de rahe haiñ
lahakte pattoñ kī tāliyoñ meñ
hinā.ī hāthoñ ke thapthapāne kā lams hai
shāḳhchoñ ke pardoñ se muñh nikāle hue ye ġhunche
kisī ko āvāz de rahe haiñ
nigār-e-nik.hat ne hajla-e-gul kā parda parda diyā hai
vo hoñT āvāz de rahe haiñ
ye buad kyā hai?
hayāt o maut aur shādī o ġham ke silsiloñ
meñ ye buad kyā hai
zarūf o ahvāl ke fasāne meñ sab mazāhir
judā judā haiñ
maiñ apne hone meñ sāneha huuñ ki
vāqi.a huuñ?
jo ek manzar mujhe rulā.e
vahī parinde kī choñch par khil ke chahchahā.e
phir aa ga.ī shaam
surma.ī vahshat o hazīmat ke saa.e saa.e
tu aa gai sham
surmai wahshat o hazimat ke sae sae
main dard-ha-dard ek nai nazm bun raha hun
daraKHt aaseb-zadgan dew-paikaran
chahchahe karahen
ye pat nauhe pe sina-kubi mein gum aza-dar
shaKHche barchhiyon ke phal
ghunche zaKHm na-ashna-e-marham
ghane daraKHton mein
zamzama-saz apni apni dhunon ko tartib de rahe hain
lahakte patton ki taliyon mein
hinai hathon ke thapthapane ka lams hai
shaKHchon ke pardon se munh nikale hue ye ghunche
kisi ko aawaz de rahe hain
nigar-e-nikhat ne hajla-e-gul ka parda parda diya hai
wo honT aawaz de rahe hain
ye buad kya hai?
hayat o maut aur shadi o gham ke silsilon
mein ye buad kya hai
zaruf o ahwal ke fasane mein sab mazahir
juda juda hain
main apne hone mein saneha hun ki
waqia hun?
jo ek manzar mujhe rulae
wahi parinde ki chonch par khil ke chahchahae
phir aa gai sham
surmai wahshat o hazimat ke sae sae
- Book : Sitarah Saaz (Pg. 54)
- Author : Akhtar Usman
- Publication : Ahbaab Publications (2013)
- Edition : 2013
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.