sham-e-bahaar
zau-fishāñ hai falak pe māh-e-mubīñ
chāñdnī se chamak uThī hai zamīñ
ho ga.ī hai har ek shai sīmīñ
tābish-e-nūr kā javāb nahīñ
ḳhaak par sar-basar hai bārish-e-nūr
tā-ba-hadd-e-nazar hai bārish-e-nūr
ġharq haiñ nuur meñ jo dasht-o-daman
phuul misl-e-charāġh haiñ raushan
sahn-e-firdaus hai zamīn-e-chaman
gul-fishāñ hai nigāh kā dāman
lahlahāte haiñ sabz-posh daraḳht
ho ga.e haiñ sharāb-nosh daraḳht
zau-fishan hai falak pe mah-e-mubin
chandni se chamak uThi hai zamin
ho gai hai har ek shai simin
tabish-e-nur ka jawab nahin
KHak par sar-basar hai barish-e-nur
ta-ba-hadd-e-nazar hai barish-e-nur
gharq hain nur mein jo dasht-o-daman
phul misl-e-charagh hain raushan
sahn-e-firdaus hai zamin-e-chaman
gul-fishan hai nigah ka daman
lahlahate hain sabz-posh daraKHt
ho gae hain sharab-nosh daraKHt
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.