sham-e-ghurbat
dekhtā huuñ chhā rahī hai har taraf
shām-e-ġhurbat aaj hindostān meñ
ye bhī koī zindagī hai jab nahīñ
ḳhushk TukḌā qismat-e-insān meñ
saiñkaḌoñ fāqoñ ke maare jā base
qaum ke farzand qabristān meñ
hākimoñ ke sag haiñ palte duudh par
aap kī daulat se inglistān meñ
par tumheñ miltī nahīñ nān-e-javīñ
jaan aa.e kis tarah se jaan meñ
māl-o-daulat jā rahā hai rāt-din
luT ke inglistān meñ jāpān meñ
sab ġhulāmī ke karishme haiñ 'alī'
aaj ġhurbat hai jo hindostān meñ
dekhta hun chha rahi hai har taraf
sham-e-ghurbat aaj hindostan mein
ye bhi koi zindagi hai jab nahin
KHushk TukDa qismat-e-insan mein
sainkaDon faqon ke mare ja base
qaum ke farzand qabristan mein
hakimon ke sag hain palte dudh par
aap ki daulat se inglistan mein
par tumhein milti nahin nan-e-jawin
jaan aae kis tarah se jaan mein
mal-o-daulat ja raha hai raat-din
luT ke inglistan mein japan mein
sab ghulami ke karishme hain 'ali'
aaj ghurbat hai jo hindostan mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.