sham hai dhuan dhuan
kyoñ shaam kā āñchal mailā hai
har samt dhuāñ sā phailā hai
mādūm hue āsār sabhī
kaliyoñ kī chanchal āñkheñ
jhukī jhukī sī mūñde palkeñ
gul-badan sar nigūñ ho ga.e
ḳhushbū bhī uḌī
aur gesū-e-shab meñ jā uljhī
mahtāb bhī ubhrā chupke se
dhuñdlā dhuñdlā
phīkā phīkā
maġhmūm shuā.eñ phīkī sī
har samt thā us kā aks-e-hazīñ
ujḌā ujḌā
vīrāñ vīrāñ
lamhoñ kī zabāneñ guñg huiiñ
uqde kī kaḌiyāñ khultī ga.iiñ
jab tez thī āñdhī duur kahīñ
uḌtī thī qabā-e-jism vahīñ
bechain huī phir ruuh bahut
kuchh be-āvāz sī chīḳheñ thiiñ
tahlīl havā meñ hotī thiiñ
kuchh abr ke TukḌe āvāra
jaise ḳhushiyoñ kā pushtāra
thak kar bikhrā de koī unheñ
purvā.ī kā jhoñkā halkā sā
phir duur uḌā le jaa.e unheñ
ab shaam kī is tanhā.ī meñ
yuuñ baiThe haiñ chup-chāp sabhī
kab hogī sahar mālūm nahīñ
lekin manzar in sub.hoñ kā
nazroñ meñ sajā kar baiThe haiñ
har saañs girāñ
har aas gumāñ
har raaz nihāñ
chup-chāp zabāñ
namnāk sī āñkhoñ par bojhal
palkoñ ko jhukā.e baiThe haiñ
kyon sham ka aanchal maila hai
har samt dhuan sa phaila hai
madum hue aasar sabhi
kaliyon ki chanchal aankhen
jhuki jhuki si munde palken
gul-badan sar nigun ho gae
KHushbu bhi uDi
aur gesu-e-shab mein ja uljhi
mahtab bhi ubhra chupke se
dhundla dhundla
phika phika
maghmum shuaen phiki si
har samt tha us ka aks-e-hazin
ujDa ujDa
viran viran
lamhon ki zabanen gung huin
uqde ki kaDiyan khulti gain
jab tez thi aandhi dur kahin
uDti thi qaba-e-jism wahin
bechain hui phir ruh bahut
kuchh be-awaz si chiKHen thin
tahlil hawa mein hoti thin
kuchh abr ke TukDe aawara
jaise KHushiyon ka pushtara
thak kar bikhra de koi unhen
purwai ka jhonka halka sa
phir dur uDa le jae unhen
ab sham ki is tanhai mein
yun baiThe hain chup-chap sabhi
kab hogi sahar malum nahin
lekin manzar in subhon ka
nazron mein saja kar baiThe hain
har sans giran
har aas guman
har raaz nihan
chup-chap zaban
namnak si aankhon par bojhal
palkon ko jhukae baiThe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.