sham ka raqs
yak-ba-yak
dhuup nīche girī
jaise chīnī kī ik tashtarī haath ḳhāmosh saa.at ke aage larazne lagā
aur kahne se hoñToñ ke andar
chhupī barq aa kar chamakne lagī
āshiyāñ jal gayā
shaam kā raqs maidān-e-hañgāma-e-ḳhauf meñ
garm hotā rahā
pañkhuḌī pañkhuḌī qatra qatra utartā rahā
maiñ ki dīvār ke sāmne dhuup kā tez jhoñkā banūñ
aag ke darmiyāñ ek paanī kā qatra banūñ
ḳhuuñ zabānoñ ke shādāb meñ ek āvāz hone kā sahrā banūñ
ruuh kī garm lahroñ meñ ik chashm hone kā chashma banūñ
tez masrūf āñkhoñ meñ ik hādsa kā tamāsha banūñ
aur
vo
ḳhvāb kī uñgliyoñ meñ phañsā naam hai
niile pattoñ meñ ristā huā sabza-e-sard ayyām hai
haañ yuuñ hī baiThe baiThe mirī saarī bāteñ suno
rone hañsne kī koī zarūrat nahīñ
yak-ba-yak
dhup niche giri
jaise chini ki ek tashtari hath KHamosh saat ke aage larazne laga
aur kahne se honTon ke andar
chhupi barq aa kar chamakne lagi
aashiyan jal gaya
sham ka raqs maidan-e-hangama-e-KHauf mein
garm hota raha
pankhuDi pankhuDi qatra qatra utarta raha
main ki diwar ke samne dhup ka tez jhonka banun
aag ke darmiyan ek pani ka qatra banun
KHun zabanon ke shadab mein ek aawaz hone ka sahra banun
ruh ki garm lahron mein ek chashm hone ka chashma banun
tez masruf aankhon mein ek hadsa ka tamasha banun
aur
wo
KHwab ki ungliyon mein phansa nam hai
nile patton mein rista hua sabza-e-sard ayyam hai
han yun hi baiThe baiThe meri sari baaten suno
rone hansne ki koi zarurat nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.