sham ke din raat
shaam meñ ġhaar thā
ġhaar meñ raat thī
raat ke nam añdhere meñ ik ajnabiyat kā ehsās thā
chaltī sāñsoñ kī hiltī huī satah par
vaqt kī naav Thahrī huī thī
sansanāte hue nam añdhere meñ poreñ dhaḌakne lagīñ
ġhaar meñ mahv-e-parvāz palkoñ ke panchhī ulajhne lage
ġhaar meñ shaam thī
chand lamhoñ meñ sadiyāñ basar kar ke jab
ġhaar ke daur se ham zamāne meñ aa.e
to Dhalte hue din kī giilī chamak pattharoñ par jamī thī
muḌ ke dekhā to palkoñ ko parvā lagī
aur maḳhmūr āñkhoñ ko sapnā lagā
gūñjte ġhaar kā nam añdherā hameñ apnā apnā lagā
ġhaar ne kuchh to jaane diyā kuchh hameñ rakh liyā thā
nihāyat subuksār the
aise chalte the jaise zamīñ ke makīñ
kurra-e-māh par chal rahe hoñ
shaam ke peḌ par ik parinda
gajartān bheroñ meñ gaane lagā
vaqt kā sāñvlā peḌ hai
peḌ ke malgaje paat haiñ
dil ke apne zamān o makāñ
shaam ke apne din raat haiñ
sham mein ghaar tha
ghaar mein raat thi
raat ke nam andhere mein ek ajnabiyat ka ehsas tha
chalti sanson ki hilti hui satah par
waqt ki naw Thahri hui thi
sansanate hue nam andhere mein poren dhaDakne lagin
ghaar mein mahw-e-parwaz palkon ke panchhi ulajhne lage
ghaar mein sham thi
chand lamhon mein sadiyan basar kar ke jab
ghaar ke daur se hum zamane mein aae
to Dhalte hue din ki gili chamak pattharon par jami thi
muD ke dekha to palkon ko parwa lagi
aur maKHmur aankhon ko sapna laga
gunjte ghaar ka nam andhera hamein apna apna laga
ghaar ne kuchh to jaane diya kuchh hamein rakh liya tha
nihayat subuksar the
aise chalte the jaise zamin ke makin
kurra-e-mah par chal rahe hon
sham ke peD par ek parinda
gajartan bheron mein gane laga
waqt ka sanwla peD hai
peD ke malgaje pat hain
dil ke apne zaman o makan
sham ke apne din raat hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.