sham ki purwai
aaj parvāz ḳhayāloñ ne judā sī paa.ī
aaj phir bhūlī huī yaad kisī kī aa.ī
jism meñ saaz khanakne kā huā hai ehsās
aur bajne lagī sargam sī kahīñ zehn ke paas
merī zulfoñ ne bikhar kar koī sargoshī kī
kaisī āvāz huī aaj ye ḳhāmoshī kī
terī aahaT tirā andāz judā hai ab bhī
tū hī duniyā-e-mohabbat kī sadā hai ab bhī
is tasavvur pe 'alīnā' ko hañsī aa.ī hai
ye koī aur nahīñ shaam kī purvā.ī hai
aaj parwaz KHayalon ne juda si pai
aaj phir bhuli hui yaad kisi ki aai
jism mein saz khanakne ka hua hai ehsas
aur bajne lagi sargam si kahin zehn ke pas
meri zulfon ne bikhar kar koi sargoshi ki
kaisi aawaz hui aaj ye KHamoshi ki
teri aahaT tera andaz juda hai ab bhi
tu hi duniya-e-mohabbat ki sada hai ab bhi
is tasawwur pe 'alina' ko hansi aai hai
ye koi aur nahin sham ki purwai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.