sham ki uDan
shaam ke surma.ī añdhere meñ
ik parinda uḌaan bhartā hai
chāhtā hai kisī kā saath mile
raat kī be-qarāriyoñ kā azaab
yaad kar ke vo kaañp uThtā hai
is liye shaam ke dhundalke meñ
ghoñsle ko vo chhoḌ detā hai
aur musalsal safar meñ rahtā hai
lekin us kā safar sadā kī tarah
tishnagī kā azaab sahtā hai
sham ke surmai andhere mein
ek parinda uDan bharta hai
chahta hai kisi ka sath mile
raat ki be-qarariyon ka azab
yaad kar ke wo kanp uThta hai
is liye sham ke dhundalke mein
ghonsle ko wo chhoD deta hai
aur musalsal safar mein rahta hai
lekin us ka safar sada ki tarah
tishnagi ka azab sahta hai
- Book : Geet Sunati hai hawa (Poetry) (Pg. 150)
- Author : Rashid Anwar Rashid
- Publication : Arshia Publications (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.