sham ko lauTti chiDiya
shaam ko chahchahātī
lauTtī chiḌiyā ko
ye nahīñ ma.alūm ki us ke basere vaalā peḌ
kaaT diyā gayā hai
ghoñsle meñ rakkhe us ke anDe rauñd diye ga.e haiñ
peḌ vaalī jagah par mall banāne kī prakriya jaarī hai
lauTte lauTte chiḌiyā ko añdherā ho jā.egā aur
jab vo ghar DhūñDte DhūñDte bhaTkegī
to andesha ye hai ki
khule paḌe bijlī kī tāroñ ko
Dāliyāñ samajh kar
un se Takrā kar
kahīñ vo bhasm na ho jaa.e
kyūñki aisā aksar
dihāḌī mazdūroñ aur avaidh kahī jaane vaalī chāloñ
ke saath bhī hote dekhā gayā hai
sham ko chahchahati
lauTti chiDiya ko
ye nahin malum ki us ke basere wala peD
kaT diya gaya hai
ghonsle mein rakkhe us ke anDe raund diye gae hain
peD wali jagah par mall banane ki prakriya jari hai
lauTte lauTte chiDiya ko andhera ho jaega aur
jab wo ghar DhunDte DhunDte bhaTkegi
to andesha ye hai ki
khule paDe bijli ki taron ko
Daliyan samajh kar
un se Takra kar
kahin wo bhasm na ho jae
kyunki aisa aksar
dihaDi mazduron aur awaidh kahi jaane wali chaalon
ke sath bhi hote dekha gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.