sham
sūraj Duubā huā añdherā
chiḌiyāñ lene lagīñ baserā
din kā ġhā.eb huā ujālā
tārīkī ne parda Daalā
jalne lage diye ghar ghar meñ
girjā masjid aur mandir meñ
charḳh-e-barīñ par chamke taare
be-roġhan haiñ raushan saare
jañgal se ghar aa.e gvāle
revaḌ apnā apnā sambhāle
jā pahuñche mazdūr gharoñ meñ
ḳhush ḳhush haiñ biivī bachchoñ meñ
din meñ kab ārām kiyā hai
ḳhuun pasīna ek kiyā hai
niiñd meñ ġhāfil ho ga.e bachche
so ga.e lorī sunte sunte
suraj Duba hua andhera
chiDiyan lene lagin basera
din ka ghaeb hua ujala
tariki ne parda Dala
jalne lage diye ghar ghar mein
girja masjid aur mandir mein
charKH-e-barin par chamke tare
be-roghan hain raushan sare
jangal se ghar aae gwale
rewaD apna apna sambhaale
ja pahunche mazdur gharon mein
KHush KHush hain biwi bachchon mein
din mein kab aaram kiya hai
KHun pasina ek kiya hai
nind mein ghafil ho gae bachche
so gae lori sunte sunte
- Book : Mujalla Dastavez (Pg. 58)
- Author : Aziz Nabeel
- Publication : Edarah Dastavez (2013-14)
- Edition : 2013-14
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.