sham
shaam hai
lambī galiyoñ meñ ūñche makānoñ kī dīvār par
phailte saa.e haiñ
duur ufuq par siyah-rañg bādal ke pīchhe
sulagtī huī dhuup hai
aise hī tere jīvan kā Dhaltā huā ruup hai
is havā meñ tire dard kā giit hai
un daraḳhtoñ ke girte hue āñsuoñ meñ
kisī aur kā ġham nahīñ
ek tere sivā koī mātam nahīñ
ek lamhe meñ ye jagmagāte hue shoḳh rang
ik dhuāñ ban ke uḌ jaane vaale haiñ
in kī damaktī kalī bujhne vaalī hai
vo tīrgī chhāne vaalī hai
jab terā ehsās tujh se bichhaḌ ke
ghane aur be-nām jangal meñ kho jā.egā
tū yahāñ aarzū kī chitā pe khaḌī ro.egī
sham hai
lambi galiyon mein unche makanon ki diwar par
phailte sae hain
dur ufuq par siyah-rang baadal ke pichhe
sulagti hui dhup hai
aise hi tere jiwan ka Dhalta hua rup hai
is hawa mein tere dard ka git hai
un daraKHton ke girte hue aansuon mein
kisi aur ka gham nahin
ek tere siwa koi matam nahin
ek lamhe mein ye jagmagate hue shoKH rang
ek dhuan ban ke uD jaane wale hain
in ki damakti kali bujhne wali hai
wo tirgi chhane wali hai
jab tera ehsas tujh se bichhaD ke
ghane aur be-nam jangal mein kho jaega
tu yahan aarzu ki chita pe khaDi roegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.