shanti
tumhāre āñgan meñ raushnī ho
hamāre ghar meñ bhī zindagī ho
tumhāre bachche bhī muskurā.eñ
hamāre bachche bhī ro na paa.eñ
tumheñ bhī lab kholne kā haq ho
hameñ bhī kuchh bolne kā haq ho
tumhārī jantā bhī pur-sukūñ ho
hameñ bhī ik amn kā junūñ ho
tumheñ bhī chāhat kī justujū ho
hameñ bhī insāniyat kī ḳhū ho
chalo ik aisī fazā kī ḳhātir
ham ek ho kar alam uThā.eñ
chalo ki nafrat kī sab fasīleñ
khaḌī haiñ kab se unheñ girā.eñ
tarāne amn aur āshtī ke
ham apne apne suroñ meñ gaa.eñ
chalo ki zulmat kī āñdhiyoñ meñ
mohabbatoñ ke diye jalā.eñ
nizām-e-zar kī burā.iyoñ ko
jabr kī sab ḳhudā.iyoñ ko
tum apnī dhartī pe rauñd Daalo
ham apne māhaul se haTā.eñ
phir ek aisā nizām hogā
sitam kā qissa tamām hogā
na koī jag meñ rahegā hākim
na koī jag meñ ġhulām hogā
chalo ki mil kar alam uThā.eñ
mohabbatoñ ke diye jalā.eñ
tumhaare aangan mein raushni ho
hamare ghar mein bhi zindagi ho
tumhaare bachche bhi muskuraen
hamare bachche bhi ro na paen
tumhein bhi lab kholne ka haq ho
hamein bhi kuchh bolne ka haq ho
tumhaari janta bhi pur-sukun ho
hamein bhi ek amn ka junun ho
tumhein bhi chahat ki justuju ho
hamein bhi insaniyat ki KHu ho
chalo ek aisi faza ki KHatir
hum ek ho kar alam uThaen
chalo ki nafrat ki sab fasilen
khaDi hain kab se unhen giraen
tarane amn aur aashti ke
hum apne apne suron mein gaen
chalo ki zulmat ki aandhiyon mein
mohabbaton ke diye jalaen
nizam-e-zar ki buraiyon ko
jabr ki sab KHudaiyon ko
tum apni dharti pe raund Dalo
hum apne mahaul se haTaen
phir ek aisa nizam hoga
sitam ka qissa tamam hoga
na koi jag mein rahega hakim
na koi jag mein ghulam hoga
chalo ki mil kar alam uThaen
mohabbaton ke diye jalaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.