shayad
kuchh log
jo mere dil ko achchhe lagte the
umroñ ke rele meñ aa.e
aur jā bhī chuke
kuchh dhandoñ meñ masrūf hue
kuchh chuhā-dauḌ meñ jiite ga.e
kuchh haar ga.e
kuchh qatl hue
kuchh baḌhtī bhiiḌ meñ
apne-āp se duur hue
kuchh TuuT ga.e kuchh Duub ga.e
mujh par ye ḳhauf ab chhāyā hai
maiñ kis se milne jā.ūñgā
maiñ kis ko paas bulā.ūñgā
āñdhī hai, garm havā hai, aag barastī hai
kuchh der huī
ik sūrat, shabnam sī sūrat
is taptī raah se guzrī thī
do bachche peḌ ke pattoñ meñ chhup kar baiThe the
hañste shor machāte the
ik dost purānā
barsoñ ba.ad milā mujh ko
us jalte din kī
sub.h kuchh aisī raushan thī
jab bād-e-sabā vārafta-rau
ḳhushbuoñ, naġhmoñ, nannhī-munnī bātoñ kā
andāz liye āñgan meñ chalī
maiñ zinda huuñ
ye soch ke ḳhush ho jaatā huuñ
vo thoḌī der to mere paas se guzrī thī
vo mere dil meñ utrī thī
is be-mahram se mausam meñ
shāyad vo kal bhī aa.egī
shāyad vo kal bhī merī raah se guzregī
kuchh log
jo mere dil ko achchhe lagte the
umron ke rele mein aae
aur ja bhi chuke
kuchh dhandon mein masruf hue
kuchh chuha-dauD mein jite gae
kuchh haar gae
kuchh qatl hue
kuchh baDhti bhiD mein
apne-ap se dur hue
kuchh TuT gae kuchh Dub gae
mujh par ye KHauf ab chhaya hai
main kis se milne jaunga
main kis ko pas bulaunga
aandhi hai, garm hawa hai, aag barasti hai
kuchh der hui
ek surat, shabnam si surat
is tapti rah se guzri thi
do bachche peD ke patton mein chhup kar baiThe the
hanste shor machate the
ek dost purana
barson baad mila mujh ko
us jalte din ki
subh kuchh aisi raushan thi
jab baad-e-saba warafta-rau
KHushbuon, naghmon, nannhi-munni baaton ka
andaz liye aangan mein chali
main zinda hun
ye soch ke KHush ho jata hun
wo thoDi der to mere pas se guzri thi
wo mere dil mein utri thi
is be-mahram se mausam mein
shayad wo kal bhi aaegi
shayad wo kal bhi meri rah se guzregi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.