shayad miTTi mujhe phir pukare
sun
dariyā apnī muTThī khol rahā hai
sun
kuchh patte aur pattoñ ke saath kuchh havā ukhaḌ ga.ī hai
jañgal ke peḌ irāde
zamīn ko bosa de rahe haiñ
chāhte haiñ dariyā ko muTThī kā jaal lagā.eñ
āñkheñ manzar tah kartī jā rahī haiñ
samundar miTTī ko chaukor kar nahīñ pā rahe sun
galī lai pe funkār rahī hai
is meñ jale hue kapḌe pheñk
ziine galiyoñ meñ dhañse jā rahe haiñ
jismoñ se āñkheñ bāñdh dī ga.ī haiñ
bahte sitāre tujhe aks kar rahe haiñ
tere paas koī chehra nahīñ
batā
jañgal se lauTne vāloñ ke paas
mere lafz the yā mūrat
ka.ī janm ba.ad baat dohrā.ī hai
merī baat meñ jaal mat lagā merī baat batā
batā
bojhal saa.e pe kitnā vazn rakhā gayā thā
sun
maut kī chādar tumhārī āñkheñ nāpnā chāhtī hai
kanche is chādar ko chhed chhed kar deñge
chādar meñ pahle hī sī kar laa.ī thī
kyā paimāna zañg-ālūd thā
ye chādar tumheñ miTTī se duur rakhegī
aisī had aisī had se merā vajūd inkār kartā hai
tumhārā vajūd to parinde raT chuke
tumhārī zabān kahīñ tumhārī muhtāj to nahīñ
mere a.azā par e'tibār kar
maiñ hairatoñ kā inkār huuñ
muḳhtalif rañg ke charāġh
aur pāniyoñ kī zabāneñ
aadmī insān hone chalā thā ki kuaañ suukh gayā
kyā aadmī ne kuñ.eñ meñ nafrat pheñk dī thī
nahīñ
vo sadā gumbad ko toḌtī huī
thoḌā sā āsmān bhī toḌ laa.ī thī
chādar aur āvāz ko tah kar ke rakh do
lauTne tak merī āvāz dhartī pe gūñjtī rahe
jaise jaise tum jāoge
ḳhatm hote jāoge
tum do āñkheñ rakhnā magar fāsle ko bedār mat karnā
ā.ankhoñ kī Tik-Tik saarā jañgal jāntā hai
tum ḳhāmosh rahnā
aur haañ zabān kā ilm apne saath lete jaao
tum peḌoñ aur chiḌiyoñ kī guftugū sunñā
ābshāroñ ke vaar sahnā
maiñ ye TukḌā āsmān ko rañgne jā rahī huuñ
ruḳhsat ho rahī ho
aane kā va.ada hai
va.ade chaukhaT ghaḌiyāñ joḌ joḌ kar banā.e ga.e haiñ
va.ade ko khaḌā.ūñ mat pahnāo
chaap kā iqrār dekh mere qadam kī rakhvālī kartī hai
maiñ apne charāġh kī lau se
tumhārī jhoñpaḌī bāñdhe jaatī huuñ
lo aur ye jhoñpaḌī
jis vaqt apnā apnā dam toḌ deñ
to samajh lenā
maiñ koī zinda nahīñ rahī hoñgī
diyā tārīkiyoñ ko chaukannā rakhegā
saañs tap chuke
aur miTTī mujhe bulā rahī hai
achchhā charāġh aur chādar ko bāñdh do
hairat hai
tum haqīqat kī tīsrī shakl nahīñ dekhnā chāhte
aag ko kuuze meñ band kar do
aur
ye rahā charāġh aur chādar
ye to raakh hai
''ye raakh nahīñ mere safar kī gavāhī hai''
sun
dariya apni muTThi khol raha hai
sun
kuchh patte aur patton ke sath kuchh hawa ukhaD gai hai
jangal ke peD irade
zamin ko bosa de rahe hain
chahte hain dariya ko muTThi ka jal lagaen
aankhen manzar tah karti ja rahi hain
samundar miTTi ko chaukor kar nahin pa rahe sun
gali lai pe funkar rahi hai
is mein jale hue kapDe phenk
zine galiyon mein dhanse ja rahe hain
jismon se aankhen bandh di gai hain
bahte sitare tujhe aks kar rahe hain
tere pas koi chehra nahin
bata
jangal se lauTne walon ke pas
mere lafz the ya murat
kai janm baad baat dohrai hai
meri baat mein jal mat laga meri baat bata
bata
bojhal sae pe kitna wazn rakha gaya tha
sun
maut ki chadar tumhaari aankhen napna chahti hai
kanche is chadar ko chhed chhed kar denge
chadar mein pahle hi si kar lai thi
kya paimana zang-alud tha
ye chadar tumhein miTTi se dur rakhegi
aisi had aisi had se mera wajud inkar karta hai
tumhaara wajud to parinde raT chuke
tumhaari zaban kahin tumhaari muhtaj to nahin
mere aaza par e'tibar kar
main hairaton ka inkar hun
muKHtalif rang ke charagh
aur paniyon ki zabanen
aadmi insan hone chala tha ki kuan sukh gaya
kya aadmi ne kunen mein nafrat phenk di thi
nahin
wo sada gumbad ko toDti hui
thoDa sa aasman bhi toD lai thi
chadar aur aawaz ko tah kar ke rakh do
lauTne tak meri aawaz dharti pe gunjti rahe
jaise jaise tum jaoge
KHatm hote jaoge
tum do aankhen rakhna magar fasle ko bedar mat karna
aaankhon ki Tik-Tik sara jangal jaanta hai
tum KHamosh rahna
aur han zaban ka ilm apne sath lete jao
tum peDon aur chiDiyon ki guftugu sunna
aabshaaron ke war sahna
main ye TukDa aasman ko rangne ja rahi hun
ruKHsat ho rahi ho
aane ka wada hai
wade chaukhaT ghaDiyan joD joD kar banae gae hain
wade ko khaDaun mat pahnao
chap ka iqrar dekh mere qadam ki rakhwali karti hai
main apne charagh ki lau se
tumhaari jhonpaDi bandhe jati hun
lo aur ye jhonpaDi
jis waqt apna apna dam toD den
to samajh lena
main koi zinda nahin rahi hongi
diya tarikiyon ko chaukanna rakhega
sans tap chuke
aur miTTi mujhe bula rahi hai
achchha charagh aur chadar ko bandh do
hairat hai
tum haqiqat ki tisri shakl nahin dekhna chahte
aag ko kuze mein band kar do
aur
ye raha charagh aur chadar
ye to rakh hai
ye rakh nahin mere safar ki gawahi hai
- Book : AN EVENING OF CAGED BEASTS (Pg. 162)
- Author : Asif Farrukhi
- Publication : Ameena Saiyid, Oxford University (1999)
- Edition : 1999
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.