shayad
maiñ to har raat yahī soch ke sotā huuñ ki kal
sub.h shāyad tire dīdār kā sūraj nikle
aur har roz tire ḳhvāb liye āñkhoñ meñ
dar-ba-dar ghūmtā phirtā huuñ ki din kaT jaa.e
aur phir raat ko jab lauT ke aa.uuñ ghar ko
muntazir ho tirā paikar mire darvāze par
yā to phir kal kī tarah raat guzar jaa.e mirī
aur jab sub.h ko jāgūñ to tujhī ko dekhūñ
main to har raat yahi soch ke sota hun ki kal
subh shayad tere didar ka suraj nikle
aur har roz tere KHwab liye aankhon mein
dar-ba-dar ghumta phirta hun ki din kaT jae
aur phir raat ko jab lauT ke aaun ghar ko
muntazir ho tera paikar mere darwaze par
ya to phir kal ki tarah raat guzar jae meri
aur jab subh ko jagun to tujhi ko dekhun
- Book : Qarz-e-jan (Pg. 12)
- Author : Rashid Azar
- Publication : Rashid Azar (2003)
- Edition : 2003
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.