shab charagh
basoñ kā shor dhuāñ gard dhuup kī shiddat
buland o baalā imārāt sar-nigūñ insāñ
talāsh-e-rizq meñ niklā huā ye jamm-e-ġhafīr
lapaktī bhāgtī maḳhlūq kā ye sail-e-ravāñ
har ik ke siine meñ yādoñ kī munhadim qabreñ
har ek apnī hī āvāz-e-pā se rū-gardāñ
ye vo hujūm hai jis meñ koī falak pe nahīñ
aur is hujūm-e-sar-e-rāh se guzarte hue
na jaane kaise tumhārī vafā karam kā ḳhayāl
mire jabīñ ko kisī dast-e-āshnā kī tarah
jo chhū gayā hai to ashkoñ ke sote phuuT paḌe
sumūm o reg ke sahrā meñ ik nafas ke liye
chalī hai bād-e-tamannā to umr bhar kī thakan
sar-e-mizha simaT aa.ī hai ek aañsū meñ
ye vo guhar hai jo TuuTe to ḳhāk-e-pā meñ mile
ye vo guhar hai jo chamke to shab-charāġh bane
bason ka shor dhuan gard dhup ki shiddat
buland o baala imaraat sar-nigun insan
talash-e-rizq mein nikla hua ye jamm-e-ghafir
lapakti bhagti maKHluq ka ye sail-e-rawan
har ek ke sine mein yaadon ki munhadim qabren
har ek apni hi aawaz-e-pa se ru-gardan
ye wo hujum hai jis mein koi falak pe nahin
aur is hujum-e-sar-e-rah se guzarte hue
na jaane kaise tumhaari wafa karam ka KHayal
mere jabin ko kisi dast-e-ashna ki tarah
jo chhu gaya hai to ashkon ke sote phuT paDe
sumum o reg ke sahra mein ek nafas ke liye
chali hai baad-e-tamanna to umr bhar ki thakan
sar-e-mizha simaT aai hai ek aansu mein
ye wo guhar hai jo TuTe to KHak-e-pa mein mile
ye wo guhar hai jo chamke to shab-charagh bane
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.