shab-e-hijran
havā be-mehr thī us raat ThanDī aur kaTīlī
saañs lenā sar se ūñchī lahr se Takkar lagānā thā
sadā koī nahīñ thī
samt kī ta.ayyun mushkil thī
nashebī bastiyoñ meñ rāste ik dūsre meñ ḳhatm hote the
tujhe kyā alam hai vo raat sar-tā-pā shab-e-hijrāñ hamāre haq meñ kaisī thī
lakīreñ haath kī nā-mehrbāñ
māthā ma.īshat kī tarah tañg aur ghar barkat se chehra nuur se aarī
gunāhoñ kā kyā maqdūr thā achchhā amal bhī ho nahīñ paayā
kisī buḌhiyā kī kuTiyā meñ diyā jhāḌū
na ro.e bā-vazū ho kar
na kuchh tartīl na tahlīl
hoñToñ se duā hī phūTtī lekin hamārī tiira rozī raat ke har brij par
bedār aur choukas thī
gaahe gaahe ik lalkār aatī thī azal kī lauh se
aur ham manoñ miTTī ke nīche sahm jaate the
havā be-mehr thī us raat ThanDī kaTīlī
saañs lenā sar se ūñchī lahr se Takkar lagānā thā
hawa be-mehr thi us raat ThanDi aur kaTili
sans lena sar se unchi lahr se Takkar lagana tha
sada koi nahin thi
samt ki tayyun mushkil thi
nashebi bastiyon mein raste ek dusre mein KHatm hote the
tujhe kya alam hai wo raat sar-ta-pa shab-e-hijran hamare haq mein kaisi thi
lakiren hath ki na-mehrban
matha maishat ki tarah tang aur ghar barkat se chehra nur se aari
gunahon ka kya maqdur tha achchha amal bhi ho nahin paya
kisi buDhiya ki kuTiya mein diya jhaDu
na roe ba-wazu ho kar
na kuchh tartil na tahlil
honTon se dua hi phuTti lekin hamari tera rozi raat ke har brij par
bedar aur choukas thi
gahe gahe ek lalkar aati thi azal ki lauh se
aur hum manon miTTi ke niche sahm jate the
hawa be-mehr thi us raat ThanDi kaTili
sans lena sar se unchi lahr se Takkar lagana tha
- Book : meyaar (Pg. 136)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.