shab-e-hijran
sozish-e-ġham kā bayāñ lab pe na lā.ūñ kyūñkar
dard hai had se sivā dil meñ chhupā.ūñ kyūñkar
tū yahīñ dost mire ġham kā mudāvā kar de
choT jo dil pe lagī hai vo dikhā.ūñ kyūñkar
kaise dohrā.ūñ ġham-e-zīst ke afsāne ko
sunñe vaalā na koī ho to sunā.ūñ kyūñkar
raushnī hotī nahīñ mere siyah-ḳhāne meñ
sham-e-dil ab shab-e-hijrāñ meñ jalā.ūñ kyūñkar
silk-e-anjum haiñ tirī yaad meñ aañsū ab tak
tere dāman ko sitāroñ se sajā.ūñ kyūñkar
jab ke tinke kā sahārā bhī nahīñ hai 'nāshād'
apnī kashtī ko talātum se bachā.ūñ kyūñkar
sozish-e-gham ka bayan lab pe na laun kyunkar
dard hai had se siwa dil mein chhupaun kyunkar
tu yahin dost mere gham ka mudawa kar de
choT jo dil pe lagi hai wo dikhaun kyunkar
kaise dohraun gham-e-zist ke afsane ko
sunne wala na koi ho to sunaun kyunkar
raushni hoti nahin mere siyah-KHane mein
sham-e-dil ab shab-e-hijran mein jalaun kyunkar
silk-e-anjum hain teri yaad mein aansu ab tak
tere daman ko sitaron se sajaun kyunkar
jab ke tinke ka sahaara bhi nahin hai 'nashad'
apni kashti ko talatum se bachaun kyunkar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.