shab-e-KHizan
tujhe e'tibār-e-sahar bhī hai
tujhe intizār-e-bahār bhī
magar ai sadā-e-umīd-e-dil
mirī zindagī to qalīl hai
ye shab-e-ḳhizāñ
hai mire gumāñ se ajīb-tar
koī ās-pās nahīñ yahāñ
koī shakl ho jo dil-āfrīñ
koī naam ho jo matā-e-jāñ
koī chāñd zīna-e-abr se
utar aa.e aur mujhe thaam le
koī ḳhvāb-rū baḌī gahrī niiñd se
chauñk kar mirā naam le
sar-e-shām koī sitāra jo
koī rāh-rau kisī raah meñ
jise ho faqat yahī aarzū
mirā haath thaam ke raushnī ke
kisī madār meñ le chale
mirī niiñd chuum ke
ḳhvāb ke kisī marġh-zār meñ le chale
magar ai bahā-e-umīd-e-dil
tirī zindagī bhī qalīl hai
ye ḳhizāñ kī raat
tavīl hai
tujhe e'tibar-e-sahar bhi hai
tujhe intizar-e-bahaar bhi
magar ai sada-e-umid-e-dil
meri zindagi to qalil hai
ye shab-e-KHizan
hai mere guman se ajib-tar
koi aas-pas nahin yahan
koi shakl ho jo dil-afrin
koi nam ho jo mata-e-jaan
koi chand zina-e-abr se
utar aae aur mujhe tham le
koi KHwab-ru baDi gahri nind se
chaunk kar mera nam le
sar-e-sham koi sitara jo
koi rah-rau kisi rah mein
jise ho faqat yahi aarzu
mera hath tham ke raushni ke
kisi madar mein le chale
meri nind chum ke
KHwab ke kisi margh-zar mein le chale
magar ai baha-e-umid-e-dil
teri zindagi bhi qalil hai
ye KHizan ki raat
tawil hai
- Book : Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 488)
- Author : Munavvar Jameel
- Publication : Haji Haneef Printer Lahore (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.