shab-e-tanhai
justujū rāh-e-talab kuchh bhī nahīñ kuchh bhī nahīñ
vahī tanhā.ī vahī ziist kī begāna-ravī
zehn anjān ḳhalāoñ meñ kahīñ khoyā huā
dil pe ik bojh haiñ maazī ke hasīñ afsāne
aaj jalte hue aañsū bhī nahīñ āñkhoñ meñ
be-hisī chaaT ga.ī ḳhūn-e-jigar kī har buuñd
ḳhāmushī jaise koī sham.a bujhī jaatī ho
niiñd aa.ī hai na aa.egī sahar tak mujh ko
aaj kī raat bhī be-kār guzar jā.egī
justuju rah-e-talab kuchh bhi nahin kuchh bhi nahin
wahi tanhai wahi zist ki begana-rawi
zehn anjaan KHalaon mein kahin khoya hua
dil pe ek bojh hain mazi ke hasin afsane
aaj jalte hue aansu bhi nahin aankhon mein
be-hisi chaT gai KHun-e-jigar ki har bund
KHamushi jaise koi shama bujhi jati ho
nind aai hai na aaegi sahar tak mujh ko
aaj ki raat bhi be-kar guzar jaegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.