shab-e-zulmat
hijr kī raat guzartī hī nahīñ
kab talak bazm pe tārīkī rahe
kab talak shūmī-e-qismat kā gilā
kab talak dard ke baḌhne kī fuġhāñ
kab talak be-kasī kā shikva rahe
kab talak bebasī kā naala rahe
kab talak hoñgī ravāñ hālateñ ye
kab talak chhā.ī raheñ zulmateñ ye
nuur uThtā hai magar kyā kījiye
zulm kī kaalī ghaTā chār-sū hai
hijr ki raat guzarti hi nahin
kab talak bazm pe tariki rahe
kab talak shumi-e-qismat ka gila
kab talak dard ke baDhne ki fughan
kab talak be-kasi ka shikwa rahe
kab talak bebasi ka nala rahe
kab talak hongi rawan haalaten ye
kab talak chhai rahen zulmaten ye
nur uThta hai magar kya kijiye
zulm ki kali ghaTa chaar-su hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.