shab-gazida
saa.eñ saa.eñ
saañs kī
jism kā jangal
rātoñ kī tanhā.ī terī yaad kā ā.īna hai
kis ne kahā hai
jism mohabbat
ruuh ḳhudā hai
dil hai terī yaad meñ maiñ huuñ
goyā
tū rātoñ kī tanhā.ī hai
maiñ sannāTā
koī nahīñ hai
sahrā ke us paar
tere mere dhuñdle dhuñdle
naqsh-e-qadam haiñ
sirf dhuāñ hai
saen saen
sans ki
jism ka jangal
raaton ki tanhai teri yaad ka aaina hai
kis ne kaha hai
jism mohabbat
ruh KHuda hai
dil hai teri yaad mein main hun
goya
tu raaton ki tanhai hai
main sannaTa
koi nahin hai
sahra ke us par
tere mere dhundle dhundle
naqsh-e-qadam hain
sirf dhuan hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.