roz sāhil pe khaḌe ho ke yahī dekhā hai
shaam kā pighlā huā surḳh sunahrī roġhan
roz maTiyāle se paanī meñ ye ghul jaatā hai
roz sāhil pe khaḌe ho ke yahī sochā hai
maiñ jo pighlī huī rañgīn shafaq kā roġhan
poñchh luuñ hāthoñ pe aur chupke se ik baar kabhī
tere gulnār se ruḳhsāroñ pe chhap se mal duuñ
shaam kā pighlā huā surḳh sunahrī roġhan
roz sahil pe khaDe ho ke yahi dekha hai
sham ka pighla hua surKH sunahri roghan
roz maTiyale se pani mein ye ghul jata hai
roz sahil pe khaDe ho ke yahi socha hai
main jo pighli hui rangin shafaq ka roghan
ponchh lun hathon pe aur chupke se ek bar kabhi
tere gulnar se ruKHsaron pe chhap se mal dun
sham ka pighla hua surKH sunahri roghan
- Book : Pukhraj (Pg. 25)
- Author : Gulzar
- Publication : Roopa Publications India Pvt. (2014)
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.