shafaq
ho ga.ī shaam aur sūraj Duubā
pachchhim meñ hai aag kā golā
rang shafaq se aisā barsā
surḳh hue jangal aur dariyā
rang tirā hai shaam kā dāman
phuul banā hai shaam kā dāman
vaah shafaq kyā rang bharī hai
surḳh parī hai surḳh parī hai
shaam kī godī meñ baiThī hai
laal chañdariyā oḌh rahī hai
is ko apne paas bulā luuñ
apnī sahelī us ko banā luuñ
aa merī rangīn shafaq aa
aa jā merī god meñ aa jā
rang tirā hai kitnā pyārā
jaise ho ammāñ kā dupaTTa
ai malika ai shaam kī beTī
rangoñ kī tū hai shahzādī
tub meñ paanī ḳhuub bharā hai
abbā ne ye bharvāyā hai
is meñ terā rath utrā hai
chāñd tirā rath khīñch rahā hai
rok le rath ko aur utar aa
aaj sahelī merī ban jā
ho gai sham aur suraj Duba
pachchhim mein hai aag ka gola
rang shafaq se aisa barsa
surKH hue jangal aur dariya
rang tera hai sham ka daman
phul bana hai sham ka daman
wah shafaq kya rang bhari hai
surKH pari hai surKH pari hai
sham ki godi mein baiThi hai
lal chandariya oDh rahi hai
is ko apne pas bula lun
apni saheli us ko bana lun
aa meri rangin shafaq aa
aa ja meri god mein aa ja
rang tera hai kitna pyara
jaise ho amman ka dupaTTa
ai malika ai sham ki beTi
rangon ki tu hai shahzadi
tub mein pani KHub bhara hai
abba ne ye bharwaya hai
is mein tera rath utra hai
chand tera rath khinch raha hai
rok le rath ko aur utar aa
aaj saheli meri ban ja
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.