shafaq
shafaq phūlne kī bhī dekho bahār
havā meñ khilā hai ajab lāla-zār
huī shaam bādal badalte haiñ rañg
jinheñ dekh kar aql hotī hai dañg
nayā rañg hai aur nayā ruup hai
har ik ruup meñ ye vahī dhuup hai
tabī.at hai bādal kī rañgat pe loT
sunahrī lagā.ī hai qudrat ne goT
zarā dair meñ rañg badle ka.ī
banafshī o nāranjī o champa.ī
ye kyā bhed hai kyā karāmāt hai
har ik rañg meñ ik na.ī baat hai
ye maġhrib meñ jo bādaloñ kī hai baaḌ
bane sone chāñdnī ke goyā pahāḌ
falak nīl-gūñ is meñ surḳhī kī laag
hare ban meñ goyā lagā dī hai aag
ab āsār zāhir hue raat ke
ki parde chhaTe laal bānāt ke
shafaq phulne ki bhi dekho bahaar
hawa mein khila hai ajab lala-zar
hui sham baadal badalte hain rang
jinhen dekh kar aql hoti hai dang
naya rang hai aur naya rup hai
har ek rup mein ye wahi dhup hai
tabiat hai baadal ki rangat pe loT
sunahri lagai hai qudrat ne goT
zara dair mein rang badle kai
banafshi o naranji o champai
ye kya bhed hai kya karamat hai
har ek rang mein ek nai baat hai
ye maghrib mein jo baadalon ki hai baD
bane sone chandni ke goya pahaD
falak nil-gun is mein surKHi ki lag
hare ban mein goya laga di hai aag
ab aasar zahir hue raat ke
ki parde chhaTe lal banat ke
- Book : intekhab-e-sukhan (Pg. 52)
- Author : Ibne Kanwal
- Publication : Kitabi Duniya (2005-2008)
- Edition : 2005-2008
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.