shaffaf rang
shaam kī aahaT jab aane lag jaa.e
sābiqa libās utaar dene ke amal ko
mīzān-e-nazar par rakh lenā chāhiye
taaki vo mailā libās shaam kā hī hissa na ban jaa.e
hameñ ujle libās kī fikr karnī chāhiye
safed ujlā shaffāf rañg
tāhira libās kā hī hissa hai
aur ham is sub.h-yāfta libās ke
pahanñe ke ahl sābit ho ga.e to
najāt hī najāt hai
sifāt hī sifāt hai
lekin ham amal-e-tāhira se guzre baġhair
ujlā libās pahan kar bhī
apnī gard-e-kashāfat chhupā nahīñ pā.eñge
behtar hai amal-e-jāriya ko hī afzal māneñ
naqsh-e-mubīn hāsil ho jaa.e
makāñ ko makīñ, makīñ ko makāñ mil jaa.e
āsmāñ ko zamīñ zamīñ ko āsmāñ mil jaa.e
sham ki aahaT jab aane lag jae
sabiqa libas utar dene ke amal ko
mizan-e-nazar par rakh lena chahiye
taki wo maila libas sham ka hi hissa na ban jae
hamein ujle libas ki fikr karni chahiye
safed ujla shaffaf rang
tahira libas ka hi hissa hai
aur hum is subh-yafta libas ke
pahanne ke ahl sabit ho gae to
najat hi najat hai
sifat hi sifat hai
lekin hum amal-e-tahira se guzre baghair
ujla libas pahan kar bhi
apni gard-e-kashafat chhupa nahin paenge
behtar hai amal-e-jariya ko hi afzal manen
naqsh-e-mubin hasil ho jae
makan ko makin, makin ko makan mil jae
aasman ko zamin zamin ko aasman mil jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.