shaffafiyan
hameñ tum muskurāhaT do
tumheñ ham khilkhilāte roz o shab deñge
ye kaise ho
ki tum bauchhaḌ do
to ham tumheñ jal-thal na de deñ
aur sahrāoñ ko farsh-e-āb na kar deñ
hamārā dhyān rakho tum
tumheñ duniyā meñ rakheñge ham apnī ārzuoñ kī
ye kaise ho
ki tum sochā karo
aur ham tumhārī soch ko tajsīm na kar deñ
muravvaj chāhatoñ ke
be-lachak aa.iin meñ tarmīm na kar deñ
tumheñ ye bhī batāte haiñ
agar koī ḳhalish hai yā koī ib.hām hai dil meñ
to phir aage nahīñ baḌhnā
ki ham shaffāf haiñ
shaffāfiyāñ hī chāhte haiñ
be-nazar shīshoñ meñ apne aks ko mailā nahīñ karte
tumheñ ye bhī batāte haiñ
agar tum chhab dikhā ke chhup ga.e
to ham tumheñ DhūñDeñge chāhe aap kho jaa.eñ
agar tum kahkashāñ maskan banāoge
to ham bhī raushnī-zāde haiñ
sūraj ke pujārī haiñ
ham aise sab sitāre toḌ dete haiñ
jo ham se raushnī kī bhiik bhī lete haiñ
āñkhoñ meñ bhī chubhte haiñ
agar pātāl meñ chhupne kī koshish kī
to phir ai sīm-tan!
dhartī hamāre vāste sonā ugaltī hai
bhalā chāñdī kahāñ is meñ Thahartī hai
hamārī raah meñ
shīsha-numā paanī kī jhīleñ mat bichhānā tum
ye kañkar pheñk kar hī faisla hogā
ki us pahnā.ī meñ kashtī utartī hai
yā phir ham paañv dharte haiñ
magar aisā na karnā tum
ki ham aisā hī karte haiñ
hamein tum muskurahaT do
tumhein hum khilkhilate roz o shab denge
ye kaise ho
ki tum bauchhaD do
to hum tumhein jal-thal na de den
aur sahraon ko farsh-e-ab na kar den
hamara dhyan rakho tum
tumhein duniya mein rakhenge hum apni aarzuon ki
ye kaise ho
ki tum socha karo
aur hum tumhaari soch ko tajsim na kar den
murawwaj chahaton ke
be-lachak aain mein tarmim na kar den
tumhein ye bhi batate hain
agar koi KHalish hai ya koi ibham hai dil mein
to phir aage nahin baDhna
ki hum shaffaf hain
shaffafiyan hi chahte hain
be-nazar shishon mein apne aks ko maila nahin karte
tumhein ye bhi batate hain
agar tum chhab dikha ke chhup gae
to hum tumhein DhunDenge chahe aap kho jaen
agar tum kahkashan maskan banaoge
to hum bhi raushni-zade hain
suraj ke pujari hain
hum aise sab sitare toD dete hain
jo hum se raushni ki bhik bhi lete hain
aankhon mein bhi chubhte hain
agar patal mein chhupne ki koshish ki
to phir ai sim-tan!
dharti hamare waste sona ugalti hai
bhala chandi kahan is mein Thaharti hai
hamari rah mein
shisha-numa pani ki jhilen mat bichhana tum
ye kankar phenk kar hi faisla hoga
ki us pahnai mein kashti utarti hai
ya phir hum panw dharte hain
magar aisa na karna tum
ki hum aisa hi karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.