shahar-bano ke liye ek nazm
tumheñ jab dekhtā huuñ
to mirī āñkhoñ pe rañgoñ kī phuvāreñ paḌne lagtī haiñ
tumheñ suntā huuñ
to mujh ko qadīmī mandiroñ se ghanTiyoñ aur masjidoñ se vird kī āvāz aatī hai
tumhārā naam letā huuñ
to sadiyoñ qabl ke lākhoñ sahīfoñ ke muqaddas lafz merā saath dete haiñ
tumheñ chhū luuñ
to duniyā-bhar ke resham kā mulā.em-pan mirī poroñ ko aa kar gudgudātā hai
tumheñ gar chuum luuñ
to mere hoñToñ par ulūhī āsmānī nā-chashīda zā.iqe yuuñ phail jaate haiñ
ki us ke ba.ad mujh ko shahd bhī phīkā sā lagtā hai
tumheñ jab yaad kartā huuñ
to har har yaad ke sadqe meñ ashkoñ ke parinde chuum kar āzād kartā huuñ
tumheñ hañstī huī sun luuñ
to sātoñ sur samā.at meñ samā kar raqs karte haiñ
kabhī tum rūThtī ho
to mirī sāñseñ aTakne aur dhaḌkan thamne lagtī hai
tumhāre aur apne ishq kī har kaifiyat se āshnā huuñ maiñ
magar jānāñ
tumheñ bilkul bhulā dene kī jaane kaifiyat kyā hai
mujhe mahsūs hotā hai
ki marg-e-zāt ke ehsās se bhar jā.ūñgā fauran
tumheñ maiñ bhūlnā chāhūñgā to mar jā.ūñgā fauran
tumhein jab dekhta hun
to meri aankhon pe rangon ki phuwaren paDne lagti hain
tumhein sunta hun
to mujh ko qadimi mandiron se ghanTiyon aur masjidon se wird ki aawaz aati hai
tumhaara nam leta hun
to sadiyon qabl ke lakhon sahifon ke muqaddas lafz mera sath dete hain
tumhein chhu lun
to duniya-bhar ke resham ka mulaem-pan meri poron ko aa kar gudgudata hai
tumhein gar chum lun
to mere honTon par uluhi aasmani na-chashida zaiqe yun phail jate hain
ki us ke baad mujh ko shahd bhi phika sa lagta hai
tumhein jab yaad karta hun
to har har yaad ke sadqe mein ashkon ke parinde chum kar aazad karta hun
tumhein hansti hui sun lun
to saton sur samaat mein sama kar raqs karte hain
kabhi tum ruThti ho
to meri sansen aTakne aur dhaDkan thamne lagti hai
tumhaare aur apne ishq ki har kaifiyat se aashna hun main
magar jaanan
tumhein bilkul bhula dene ki jaane kaifiyat kya hai
mujhe mahsus hota hai
ki marg-e-zat ke ehsas se bhar jaunga fauran
tumhein main bhulna chahunga to mar jaunga fauran
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.