shahar-zade
is daur ke haiñ qissa-go
ham shahr-zādoñ kī suno
ye dāstān-e-zīst hai
kuchh ḳhvāb kī ta.abīr hai
kuchh dard kī tamsīl hai
ā.indagāñ kā shahr yā hai raftagāñ kī aarzū
ik gahmā-gahmī kū-ba-kū phailī huī hai chār-sū
ījād-dar-ījād hotī ḳhvāhisheñ aur justujū
har samt meñ baḌhtā huā ye kār-zār-e-rañg-o-bū
āsā.ishoñ ke is ghane jañgal meñ tanhā maiñ ki tū
ham mash.al-e-āshufta lau
ham shahr-zādoñ kī suno
aur āsmāñ se bāteñ kartīñ un fasīloñ kā ye jaal
is jaal meñ mahbūs hotī roz-o-shab ye zindagī
is zindagī se munqalib hotī huī vāraftagī
har aan hai koī ḳhalish har pal ki jaise tishnagī
har haal meñ phir bhī muqaddam kāvish-e-āsūdgī
ham āsmāñ ke rāh-rau
ham shahr-zādoñ kī suno
is kūcha-o-bāzār meñ ajnās ke ambār haiñ
fitrat se kosoñ duur haiñ ye jo bhī kārobār haiñ
is dauḌ meñ sab log hī paiham subuk-raftār haiñ
apnī mashīnī zindagī ham aadmī bezār haiñ
lekin hamāre hausle is daur ke me.amār haiñ
ham se milī tāroñ ko zau
ham shahr-zādoñ kī suno
hai ḳhud-farāmoshī pe ġhālib ḳhud-farebī kī chubhan
takrār se ta.abīr haiñ ye zindagī ke māh-o-san
yaksāniyat ke dasht meñ khultā hai nudrat kā chaman
māyūs jazboñ se idhar kuchh kar dikhāne kī lagan
bīm-o-rajā ke darmiyāñ ham shahr-zāde haiñ magan
ham shahr-zādoñ kī suno
ham rāqim-e-tārīḳh-e-nau
is daur ke hain qissa-go
hum shahr-zadon ki suno
ye dastan-e-zist hai
kuchh KHwab ki tabir hai
kuchh dard ki tamsil hai
aaindagan ka shahr ya hai raftagan ki aarzu
ek gahma-gahmi ku-ba-ku phaili hui hai chaar-su
ijad-dar-ijad hoti KHwahishen aur justuju
har samt mein baDhta hua ye kar-zar-e-rang-o-bu
aasaishon ke is ghane jangal mein tanha main ki tu
hum mashal-e-ashufta lau
hum shahr-zadon ki suno
aur aasman se baaten kartin un fasilon ka ye jal
is jal mein mahbus hoti roz-o-shab ye zindagi
is zindagi se munqalib hoti hui waraftagi
har aan hai koi KHalish har pal ki jaise tishnagi
har haal mein phir bhi muqaddam kawish-e-asudgi
hum aasman ke rah-rau
hum shahr-zadon ki suno
is kucha-o-bazar mein ajnas ke ambar hain
fitrat se koson dur hain ye jo bhi karobar hain
is dauD mein sab log hi paiham subuk-raftar hain
apni mashini zindagi hum aadmi bezar hain
lekin hamare hausle is daur ke meamar hain
hum se mili taron ko zau
hum shahr-zadon ki suno
hai KHud-faramoshi pe ghaalib KHud-farebi ki chubhan
takrar se tabir hain ye zindagi ke mah-o-san
yaksaniyat ke dasht mein khulta hai nudrat ka chaman
mayus jazbon se idhar kuchh kar dikhane ki lagan
bim-o-raja ke darmiyan hum shahr-zade hain magan
hum shahr-zadon ki suno
hum raqim-e-tariKH-e-nau
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.