Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shahid-e-watan

Josh Malsiani

shahid-e-watan

Josh Malsiani

dekhiye in jiine vāloñ nishān-e-zindagī

dekhiye in marne vāloñ jahān-e-zindagī

dekhiye in pastiyoñ meñ āsmān-e-zindagī

dekhiye in ḳhaak ke zarroñ shān-e-zindagī

baiThiye dam-bhar shahīdān-e-vatan ḳhaak par

dekhiye rūh-e-vafā kyā kyā ubhartī hai yahāñ

dekhiye hubb-e-vatan dil meñ utartī hai yahāñ

dekhiye dil fazā kaisī nikhartī hai yahāñ

dekhiye rahmat ḳhudā tauf kartī hai yahāñ

baiThiye dam-bhar shahīdān-e-vatan ḳhaak par

is jagah be-rañgiyāñ bhī ālam-e-tasvīr haiñ

is jagah tārīkiyāñ bhī sham.a tanvīr haiñ

is jagah ḳhāmoshiyāñ bhī ik lab-e-taqrīr haiñ

is jagah rūposhiyāñ bhī dil dāman-gīr haiñ

baiThiye dam-bhar shahīdān-e-vatan ḳhaak par

uTh ga.e duniyā se lekin ek duniyā ho ga.e

bulbule paanī ke the TuuTe to dariyā ho ga.e

ye vo the zarrāt jo uḌ kar surayyā ho ga.e

ye vo the bīmār jo mar kar masīhā ho ga.e

baiThe dam-bhar shahīdān-e-vatan ḳhaak par

dil ke ujḌe baaġh ko ābād hote dekhiye

ruuh afsurdagī ko shaad hote dekhiye

bandagī ko qaid se āzād hote dekhiye

par-shikasta said ko sayyād hote dekhiye

baiThiye dam-bhar shahīdān-e-vatan ḳhaak par

aa.iye us ḳhaak se kasb-e-fazīlat kījiye

aa.iye qurbān us par dil daulat kījiye

haañ zarā ruk jā.iye itnī na ujlat kījiye

is ziyārat-gāh-e-ālam ziyārat kījiye

baiThiye dam-bhar shahīdān-e-vatan ḳhaak par

dekhiye in jine walon ka nishan-e-zindagi

dekhiye in marne walon ka jahan-e-zindagi

dekhiye in pastiyon mein aasman-e-zindagi

dekhiye in KHak ke zarron ki shan-e-zindagi

baiThiye dam-bhar shahidan-e-watan ki KHak par

dekhiye ruh-e-wafa kya kya ubharti hai yahan

dekhiye hubb-e-watan dil mein utarti hai yahan

dekhiye dil ki faza kaisi nikharti hai yahan

dekhiye rahmat KHuda ki tauf karti hai yahan

baiThiye dam-bhar shahidan-e-watan ki KHak par

is jagah be-rangiyan bhi aalam-e-taswir hain

is jagah tarikiyan bhi shama ki tanwir hain

is jagah KHamoshiyan bhi ek lab-e-taqrir hain

is jagah ruposhiyan bhi dil ki daman-gir hain

baiThiye dam-bhar shahidan-e-watan ki KHak par

uTh gae duniya se lekin ek duniya ho gae

bulbule pani ke the TuTe to dariya ho gae

ye wo the zarraat jo uD kar surayya ho gae

ye wo the bimar jo mar kar masiha ho gae

baiThe dam-bhar shahidan-e-watan ki KHak par

dil ke ujDe bagh ko aabaad hote dekhiye

ruh ki afsurdagi ko shad hote dekhiye

bandagi ko qaid se aazad hote dekhiye

par-shikasta said ko sayyaad hote dekhiye

baiThiye dam-bhar shahidan-e-watan ki KHak par

aaiye us KHak se kasb-e-fazilat kijiye

aaiye qurban us par dil ki daulat kijiye

han zara ruk jaiye itni na ujlat kijiye

is ziyarat-gah-e-alam ki ziyarat kijiye

baiThiye dam-bhar shahidan-e-watan ki KHak par

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now