Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shahidan-e-azadi

Prem Lal Shifa Dehlvi

shahidan-e-azadi

Prem Lal Shifa Dehlvi

MORE BYPrem Lal Shifa Dehlvi

    vo parastārān-e-āzādī shahīdān-e-vatan

    zīnat-e-hindostāñ honā thā jin bāñkpan

    is vatan ke vāste kyā kyā sahe ranj-o-mehan

    naaz ke qābil hai un jāñ-nisārī chalan

    ḳhuun se sīñchā vatan sar-zamīn-e-pāk ko

    martaba iksīr baḳhshā yahāñ ḳhaak ko

    ziist har ek ne.amat mulk par qurbān thī

    rahnumā ke ik ishāre par tasadduq jaan thī

    ḳhuun dāman par na thā un yahī pahchān thī

    ġhāziyān-e-hind sab se nirālī shaan thī

    ye sitam-gāroñ ko ulfat sabaq de kar ga.e

    jin ko marnā chāhiye thā un ke badle mar ga.e

    jab huī mahsūs āzādī un ko ehtiyāj

    aur un farmāñ-ravāoñ se kiyā jab ehtijāj

    taish se tharrā gayā bartāniya sāmrāj

    zulm se us ke huā bedār phir saarā samāj

    mulk meñ kholā unhoñ ne jang-e-āzādī baab

    sāmrājī zulm jis se ho gayā phir be-naqāb

    goliyāñ kitnī chalā.īñ jaliyāñ vaale baaġh par

    zulm phir Dhaa.e avadh begamoñ ko maar kar

    tiin din kis tarah faaqe se rahe shāh-e-zafar

    tīsre din tasht par laa.e ga.e beToñ ke sar

    zulm tārīḳh-e-ḳhūnīñ se haiñ go nāshād ham

    aaj ke din faḳhr se karte haiñ un ko yaad ham

    aur is ke baa'd bhī qurbāniyāñ dete rahe

    phir bhagat singh aur sāthī us ke suulī par chaḌhe

    sar pe lāla-lājpat raa.e ke bhī DanDe paḌe

    bose baabū mulk se bāhar kar mar ga.e

    aur lākhoñ mar ga.e jin ke nahīñ ma.alūm naam

    aaj ham karte haiñ un saare shahīdoñ ko salām

    rang laayā hai bil-āḳhir un shahīdoñ lahū

    ho ga.ī āzād ho jaane puurī aarzū

    aur haiñ takmīl-e-āzādī ke charche chār-sū

    ek din ban jā.egā ye mulk jannat hū-bahū

    ḳhvāb dekhā thā unhoñ ne us ye ta.abīr hai

    mulk meñ jaarī har ik unvān se ta.amīr hai

    un azmat se sabaq leñ aaj ahl-e-eqtidār

    kursiyoñ par baiTh jaane se nahīñ miltā vaqār

    hukmrānī chhoḌ kar ban jaa.eñ vo ḳhidmat-guzār

    naam un jāñ-nisārān-e-vatan meñ ho shumār

    jis meñ ho matlab-parastī ziist vo nākām hai

    zindagī āḳhir 'shifā' qurbāniyoñ naam hai

    wo parastaran-e-azadi shahidan-e-watan

    zinat-e-hindostan hona tha jin ka bankpan

    is watan ke waste kya kya sahe ranj-o-mehan

    naz ke qabil hai un ki jaan-nisari ka chalan

    KHun se sincha watan ki sar-zamin-e-pak ko

    martaba iksir ka baKHsha yahan ki KHak ko

    zist ki har ek neamat mulk par qurban thi

    rahnuma ke ek ishaare par tasadduq jaan thi

    KHun daman par na tha un ki yahi pahchan thi

    ghaziyan-e-hind ki sab se nirali shan thi

    ye sitam-garon ko ulfat ka sabaq de kar gae

    jin ko marna chahiye tha un ke badle mar gae

    jab hui mahsus aazadi ki un ko ehtiyaj

    aur un farman-rawaon se kiya jab ehtijaj

    taish se tharra gaya bartaniya ka samraj

    zulm se us ke hua bedar phir sara samaj

    mulk mein khola unhon ne jang-e-azadi ka bab

    samraji zulm jis se ho gaya phir be-naqab

    goliyan kitni chalain jaliyan wale bagh par

    zulm phir Dhae awadh ki begamon ko mar kar

    tin din kis tarah faqe se rahe shah-e-zafar

    tisre din tasht par lae gae beTon ke sar

    zulm ki tariKH-e-KHunin se hain go nashad hum

    aaj ke din faKHr se karte hain un ko yaad hum

    aur is ke ba'd bhi qurbaniyan dete rahe

    phir bhagat singh aur sathi us ke suli par chaDhe

    sar pe lala-lajpat rae ke bhi DanDe paDe

    bose babu mulk se bahar hi ja kar mar gae

    aur lakhon mar gae jin ke nahin malum nam

    aaj hum karte hain un sare shahidon ko salam

    rang laya hai bil-aKHir un shahidon ka lahu

    ho gai aazad ho jaane ki puri aarzu

    aur hain takmil-e-azadi ke charche chaar-su

    ek din ban jaega ye mulk jannat hu-bahu

    KHwab dekha tha unhon ne us ki ye tabir hai

    mulk mein jari har ek unwan se tamir hai

    un ki azmat se sabaq len aaj ahl-e-eqtidar

    kursiyon par baiTh jaane se nahin milta waqar

    hukmrani chhoD kar ban jaen wo KHidmat-guzar

    nam un ka jaan-nisaran-e-watan mein ho shumar

    jis mein ho matlab-parasti zist wo nakaam hai

    zindagi aaKHir 'shifa' qurbaniyon ka nam hai

    Source :

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now