shahid-e-azadi
ek insān bhī tārīḳh badal saktā hai
jab bhagat-singh yaad aatā hai
dil ye phūlā nahīñ samātā hai
faḳhr kartā hai apnā sar ūñchā
ḳhuun rag rag meñ dauḌ jaatā hai
ham ne dekhā hai apnī āñkhoñ se
ahd-e-māzī yahī batātā hai
jo vatan par nisār hotā hai
rūh-o-dil meñ maqām paatā hai
us ko tārīḳh yaad kartī hai
misl-e-ḳhurshīd jagmagātā hai
ran meñ āzādī-e-vatan ke liye
ik mujāhid jo kaam aatā hai
aap qurbān ho ke maidāñ meñ
qaum ke hausle baḌhātā hai
jabr aatā hai barq kī zad par
zulm kā taḳht Dagmagātā hai
aur jab tak mile na āzādī
parcham-e-azm lahlahātā hai
jaarī rahtī hai jang-e-āzādī
ek ke baad ek aatā hai
ek insan bhi tariKH badal sakta hai
jab bhagat-singh yaad aata hai
dil ye phula nahin samata hai
faKHr karta hai apna sar uncha
KHun rag rag mein dauD jata hai
hum ne dekha hai apni aankhon se
ahd-e-mazi yahi batata hai
jo watan par nisar hota hai
ruh-o-dil mein maqam pata hai
us ko tariKH yaad karti hai
misl-e-KHurshid jagmagata hai
ran mein aazadi-e-watan ke liye
ek mujahid jo kaam aata hai
aap qurban ho ke maidan mein
qaum ke hausle baDhata hai
jabr aata hai barq ki zad par
zulm ka taKHt Dagmagata hai
aur jab tak mile na aazadi
parcham-e-azm lahlahata hai
jari rahti hai jang-e-azadi
ek ke baad ek aata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.