shahkar
musavvir maiñ tirā shahkār vāpas karne aayā huuñ
ab un rañgīn ruḳhsāroñ meñ thoḌī zardiyāñ bhar de
Hijāb-ālūd nazroñ meñ zarā bebākiyāñ bhar de
laboñ kī bhīgī bhīgī silvaToñ ko muzmahil kar de
numāyāñ rañg-e-peshānī pe aks-e-soz-e-dil kar de
tabassum-āfrīñ chehre meñ kuchh sanjīda-pan bhar de
javāñ siine kī maḳhrūtī uThāneñ sar-nigūñ kar de
ghane bāloñ ko kam kar de magar raḳhshandagī de de
nazar se tamkanat le kar mazāq-e-ājizī de de
magar haañ bench ke badle use sofe pe biThlā de
yahāñ mere bajā.e ik chamaktī car dikhlā de
musawwir main tera shahkar wapas karne aaya hun
ab un rangin ruKHsaron mein thoDi zardiyan bhar de
Hijab-alud nazron mein zara bebakiyan bhar de
labon ki bhigi bhigi silwaTon ko muzmahil kar de
numayan rang-e-peshani pe aks-e-soz-e-dil kar de
tabassum-afrin chehre mein kuchh sanjida-pan bhar de
jawan sine ki maKHruti uThanen sar-nigun kar de
ghane baalon ko kam kar de magar raKHshandagi de de
nazar se tamkanat le kar mazaq-e-ajizi de de
magar han bench ke badle use sofe pe biThla de
yahan mere bajae ek chamakti car dikhla de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.