shahr-ashob
ai shahr-e-rasan-basta
kyā ye tirī manzil hai
kyā ye tirā hāsil hai
ye kaun sā manzar hai
kuchh bhī to nahīñ khultā
kyā terā muqaddar hai
taqdīr-e-fasīl-e-shahr katba hai ki gul-dasta
ai shahr-e-rasan-basta
ab koī bhī ḳhvāboñ par īmān nahīñ rakhtā
kis raah pe jaanā hai kis raah nahīñ jaanā pahchān nahīñ rakhtā
shā.er ho ki sūrat-gar bāġhoñ kī charāġhoñ kī bastī ke sajāne kā sāmān nahīñ rakhtā
jis samt nazar kiije āñkhoñ meñ dar aate haiñ aur ḳhuun rulāte haiñ
yādoñ se bhare dāman lāshoñ se bharā rasta
ai shahr-e-rasan-basta
muddat huī logoñ ko chup maar ga.ī jaise
Thukrā.ī huī ḳhilqat jiine kī kashākash meñ jī haar ga.ī jaise
har saañs ḳhajil Thahrī bekār ga.ī jaise
ab ġham kī hikāyat ho yā lutf kī bāteñ hoñ koī bhī nahīñ rotā koī bhī nahīñ hañstā
ai shahr-e-rasan-basta
ai shahr-e-rasan-basta
kya ye teri manzil hai
kya ye tera hasil hai
ye kaun sa manzar hai
kuchh bhi to nahin khulta
kya tera muqaddar hai
taqdir-e-fasil-e-shahr katba hai ki gul-dasta
ai shahr-e-rasan-basta
ab koi bhi KHwabon par iman nahin rakhta
kis rah pe jaana hai kis rah nahin jaana pahchan nahin rakhta
shaer ho ki surat-gar baghon ki charaghon ki basti ke sajaane ka saman nahin rakhta
jis samt nazar kije aankhon mein dar aate hain aur KHun rulate hain
yaadon se bhare daman lashon se bhara rasta
ai shahr-e-rasan-basta
muddat hui logon ko chup mar gai jaise
Thukrai hui KHilqat jine ki kashakash mein ji haar gai jaise
har sans KHajil Thahri bekar gai jaise
ab gham ki hikayat ho ya lutf ki baaten hon koi bhi nahin rota koi bhi nahin hansta
ai shahr-e-rasan-basta
- Book : Mahr-e-Do Neem (Pg. 127)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.