shahr-ashob
jin dinoñ
maiñ apnī tanhā.ī kā nauha likh rahā thā
bastiyāñ ābād thiiñ raunaq bharī thī shaam
aur jaaḌā gulābī
taaza taaza shahr meñ dāḳhil huā thā
jin dinoñ maiñ
pā-pyāda aur phir sadā zabāñ meñ
soz-hā-e-andarūñ ke qissa-e-pārīna kī tafsīl meñ ta.abīr meñ
uljhā huā thā
bheḌiye āzād the
aur ek qātil raag
bajātā jā rahā thā
ḳhūb-tar se ḳhūb-tar thā
qatl kā naġhma
jis ne jo samjhā vahī tārīḳh thī
ḳhvāja-sarā-e-shahr dārussaltanat meñ
karbalā ke huzn meñ
ek vahshiyāna raqs kī taḳhlīq meñ masraf thā
aur sab tamāshā.ī sabhī maqtūl saare
dam-ba-ḳhud mab.hūt ḳhāmoshī se sunte jā rahe the
aur mausīqī se lag-bhag nā-balad har shaḳhs
aglī saf meñ baiThā
taal kī har gat par har jhankār pe
behāl hotā jā rahā thā
ek qātil aur surīlā raag
bajātā jā rahā thā
jin dinon
main apni tanhai ka nauha likh raha tha
bastiyan aabaad thin raunaq bhari thi sham
aur jaDa gulabi
taza taza shahr mein daKHil hua tha
jin dinon main
pa-pyaada aur phir sada zaban mein
soz-ha-e-andarun ke qissa-e-parina ki tafsil mein tabir mein
uljha hua tha
bheDiye aazad the
aur ek qatil rag
bajata ja raha tha
KHub-tar se KHub-tar tha
qatl ka naghma
jis ne jo samjha wahi tariKH thi
KHwaja-sara-e-shahr darussaltanat mein
karbala ke huzn mein
ek wahshiyana raqs ki taKHliq mein masraf tha
aur sab tamashai sabhi maqtul sare
dam-ba-KHud mabhut KHamoshi se sunte ja rahe the
aur mausiqi se lag-bhag na-balad har shaKHs
agli saf mein baiTha
tal ki har gat par har jhankar pe
behaal hota ja raha tha
ek qatil aur surila rag
bajata ja raha tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.