shahr-e-arzu
koī batā.e kahāñ shahr-e-ārzū hogā
ki jis maqām pe dāman ke chaak silte haiñ
na.ī hayāt na.ī sub.h-o-shām milte haiñ
udaas udaas haiñ rāteñ udaas udaas haiñ din
kaTegī raah koī dāstāñ sunāte chalo
hikāyat-e-but-e-lāla-o-shāñ sunāte chalo
kisī kī zūd-pashīmāñ nīgāhiyoñ kā tilism
kisī ḳharāb nigāh-e-karam kā zikr karo
vafā-e-vāda-o-qaul-o-qasam kā zikr karo
har ek ābla-pā aur sar-e-junūñ-pesha
diloñ ke ka.abe meñ patthar sajā.e phirtā hai
ufuq ufuq pe nigāheñ jamā.e phirtā hai
udaas ham-safaro sū-e-dil bhī ek nazar
uchhal rahā hai baḌī der se lahū apnā
yahīñ kahīñ na mile shahr-e-ārzū apnā
koi batae kahan shahr-e-arzu hoga
ki jis maqam pe daman ke chaak silte hain
nai hayat nai subh-o-sham milte hain
udas udas hain raaten udas udas hain din
kaTegi rah koi dastan sunate chalo
hikayat-e-but-e-lala-o-shan sunate chalo
kisi ki zud-pashiman nigahiyon ka tilism
kisi KHarab nigah-e-karam ka zikr karo
wafa-e-wada-o-qaul-o-qasam ka zikr karo
har ek aabla-pa aur sar-e-junun-pesha
dilon ke kabe mein patthar sajae phirta hai
ufuq ufuq pe nigahen jamae phirta hai
udas ham-safaro su-e-dil bhi ek nazar
uchhal raha hai baDi der se lahu apna
yahin kahin na mile shahr-e-arzu apna
- Book : azadi ke bad urdu nazm (Pg. 565)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.