Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shahr-e-KHuban shahr-e-maqtal

Sahba lakhnavi

shahr-e-KHuban shahr-e-maqtal

Sahba lakhnavi

MORE BYSahba lakhnavi

    mire is shahr raunaq

    baseñ rickshaw Trāmeñ motareñ

    aur aadmī sailāb ke mānind

    saḌkeñ hamhamātī shor hañgāma tag-o-dau

    vaqt gardish meñ sub.h-o-shām ma.amūl hai

    mire is shahr raunaq

    schōl nā-āshnā lamhe adhūrī ḳhvāhish

    ḳhvāboñ ke vīrāne

    añdhere shab ke afsāne

    mire is shahr raunaq

    hasīñ bāzār raunaq dukāneñ dilrubā chehre

    shagufta koñpleñ āsūda jalve

    karb lahreñ

    ye kaisī karb lahreñ haiñ yārab

    shahr-e-ḳhūbāñ shahr-e-maqtal ban gayā hai

    aur zinda aadmī

    qatl-gāh-e-rah-guzar par

    rikshoñ basoñ caroñ ke shor-e-garāñ meñ

    nīm-jāñ behāl murda

    kho chukā hai

    e'tibār-e-zindagī

    mere is shahr ki raunaq

    basen rickshaw Tramen motaren

    aur aadmi sailab ke manind

    saDken hamhamati shor hangama tag-o-dau

    waqt ki gardish mein subh-o-sham ka mamul hai

    mere is shahr ki raunaq

    school na-ashna lamhe adhuri KHwahish

    KHwabon ke virane

    andhere shab ke afsane

    mere is shahr ki raunaq

    hasin bazar raunaq dukanen dilruba chehre

    shagufta konplen aasuda jalwe

    karb ki lahren

    ye kaisi karb ki lahren hain yarab

    shahr-e-KHuban shahr-e-maqtal ban gaya hai

    aur zinda aadmi

    qatl-gah-e-rah-guzar par

    rikshon bason caron ke shor-e-garan mein

    nim-jaan behaal murda

    kho chuka hai

    e'tibar-e-zindagi

    Source :
    • Book : Pakistani Adab (Pg. 175)
    • Author : Dr. Rashid Amjad
    • Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
    • Edition : 2009
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now