shahr-e-viran ke aaseb ka sae
magar
shahr-e-vīrāñ
tumhāre gharoñ maqbaroñ kī muñDeroñ chhatoñ par
jo būḌhe parindoñ kī sargoshiyāñ haiñ
bhaTaktī haiñ din raat mere sirhāne
koī ajnabī
ġhair-mānūs āvāz kahtī hai
ḳhudā jab zamīnoñ pe utrā thā
būḌhe parindoñ ko maut aa ga.ī thī
jabhī shahr-e-vīrāñ kī behad purānī
fasīloñ meñ gūñgī darāḌeñ paḌī thiiñ
darāḌeñ jo khīñcheñ nasoñ se harārat
aur aise meñ shahr-e-hazīñ ke sabhī
bāsiyoñ ne panāh maañg lī thī
darāḌoñ ke shar se
purāne shahr se
na.e mausamoñ kī
harārat nasoñ meñ palaT aa.ī
kirnoñ ne sūraj ko paidā kiyā
aur sūraj ne rangoñ ko taqsīm kar ke
jo naqshe jane
un se chehre bane
chehroñ ne gūñgī darāḌoñ ko āvāz dī
aur sajā.e baḌe hī jatan se
galī aur mahalle
khurach kar nishāñ saare maazī ke tere badan se
namak-pāsh chehroñ ne Tisve bahā.e
masājid madāris meñ tārīḳh-nāmoñ ke pahre biThā.e
magar shahr-e-vīrāñ
maiñ vo shor baḳht huuñ
jo būḌhe parindoñ kī sargoshiyoñ meñ
tumhāre batn kī ḳhāmushī sun rahī huuñ
rañgā-rang pardoñ ke pīchhe kī vīrāniyāñ
chun rahī huuñ
magar
shahr-e-viran
tumhaare gharon maqbaron ki munDeron chhaton par
jo buDhe parindon ki sargoshiyan hain
bhaTakti hain din raat mere sirhane
koi ajnabi
ghair-manus aawaz kahti hai
KHuda jab zaminon pe utra tha
buDhe parindon ko maut aa gai thi
jabhi shahr-e-viran ki behad purani
fasilon mein gungi daraDen paDi thin
daraDen jo khinchen nason se hararat
aur aise mein shahr-e-hazin ke sabhi
basiyon ne panah mang li thi
daraDon ke shar se
purane shahr se
nae mausamon ki
hararat nason mein palaT aai
kirnon ne suraj ko paida kiya
aur suraj ne rangon ko taqsim kar ke
jo naqshe jane
un se chehre bane
chehron ne gungi daraDon ko aawaz di
aur sajae baDe hi jatan se
gali aur mahalle
khurach kar nishan sare mazi ke tere badan se
namak-pash chehron ne Tiswe bahae
masajid madaris mein tariKH-namon ke pahre biThae
magar shahr-e-viran
main wo shor baKHt hun
jo buDhe parindon ki sargoshiyon mein
tumhaare batn ki KHamushi sun rahi hun
ranga-rang pardon ke pichhe ki viraniyan
chun rahi hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.