shahr ilm ke darwaze par
kabhī kabhī dil ye sochtā hai
na jaane ham be-yaqīn logoñ ko nām-e-haidar se rabt kyuuñ hai
hakīm jaane vo kaisī hikmat se āshnā thā
shajī.a jaane ki badar o ḳhaibar kī fat.h-mandī kā raaz kyā thā
aliim jaane vo ilm ke kaun se safīnoñ kā nā-ḳhudā thā
mujhe to bas sirf ye ḳhabar hai
vo mere maulā kī ḳhushbuoñ meñ rachā-basā thā
vo un ke dāmān-e-ātifat meñ palā baḌhā thā
aur us ke din raat mere aaqā ke chashm o abro o jumbish-e-lab ke muntazir the
vo raat ko dushmanoñ ke narġhe meñ so rahā thā to un kī ḳhātir
jidāl meñ sar se paañv tak surḳh ho rahā thā to un kī ḳhātir
so us ko mahbūb jāntā huuñ
so us ko maqsūd māntā huuñ
sa.ādateñ us ke naam se haiñ
mohabbateñ us ke naam se haiñ
mohabbatoñ ke sabhī gharānoñ kī nisbateñ us ke naam se haiñ
AT THE GATE OF THE CITY OF WISDOM
kabhi kabhi dil ye sochta hai
na jaane hum be-yaqin logon ko nam-e-haidar se rabt kyun hai
hakim jaane wo kaisi hikmat se aashna tha
shajia jaane ki badar o KHaibar ki fath-mandi ka raaz kya tha
alim jaane wo ilm ke kaun se safinon ka na-KHuda tha
mujhe to bas sirf ye KHabar hai
wo mere maula ki KHushbuon mein racha-basa tha
wo un ke daman-e-atifat mein pala baDha tha
aur us ke din raat mere aaqa ke chashm o abro o jumbish-e-lab ke muntazir the
wo raat ko dushmanon ke narghe mein so raha tha to un ki KHatir
jidal mein sar se panw tak surKH ho raha tha to un ki KHatir
so us ko mahbub jaanta hun
so us ko maqsud manta hun
saadaten us ke nam se hain
mohabbaten us ke nam se hain
mohabbaton ke sabhi gharanon ki nisbaten us ke nam se hain
AT THE GATE OF THE CITY OF WISDOM
- Book : Mahr-e-Do Neem (Pg. 137)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.