shahr mera
shahr merā udaas gañgā sā
koī bhī aa.e aur apne paap
kho ke jaatā hai dhoke jaatā hai
aag kā khel khelne vaale
ye nahīñ jānte ki paanī kā
aag se bair hai hamesha kā
aag kitnī hī ḳhaufnāk sahī
us kī lapToñ kī umr thoḌī hai
aur gañgā ke saaf paanī ko
aaj bahnā hai kal bhī bahnā hai
jaane kis kis kā dard sahnā hai
shahr merā udaas gañgā sā
shahr mera udas ganga sa
koi bhi aae aur apne pap
kho ke jata hai dhoke jata hai
aag ka khel khelne wale
ye nahin jaante ki pani ka
aag se bair hai hamesha ka
aag kitni hi KHaufnak sahi
us ki lapTon ki umr thoDi hai
aur ganga ke saf pani ko
aaj bahna hai kal bhi bahna hai
jaane kis kis ka dard sahna hai
shahr mera udas ganga sa
- Book : Mausam Andar Bahar ke (Pg. 51)
- Author : Waseem Barelvi
- Publication : Maktaba Jamia Ltd. (2007)
- Edition : 2007
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.