shahr-nama
vo ajiib sub.h-e-bahār thī
ki sahar se nauhagarī rahī
mirī bastiyāñ thiiñ dhuāñ-dhuāñ
mire ghar meñ aag bharī rahī
mire rāste the lahū-lahū
mirā qarya qarya figār thā
ye kaf-e-havā pe zamīn thī
vo falak kī musht-e-ġhubār thā
ka.ī ābshār se jism the
ki jo qatra-qatra pighal ga.e
ka.ī ḳhush-jamāl tilism the
jinheñ gard-bād nigal ga.e
koī ḳhvāb nok-e-sināñ pe thā
koī aarzū tah-e-sang thī
koī phuul aabla aabla
koī shāḳh marqad-e-rang thī
ka.ī lāpata merī lo'bateñ
jo kisī taraf kī na ho sakīñ
jo na aane vāloñ ke saath thiiñ
jo na jaane vāloñ ko ro sakīñ
ka.ī taar saaz se kaT ga.e
kisī mutriba kī rag-e-gulū
mai-e-ātishīñ meñ vo zahr thā
ki taḌaḳh ga.e qadah-o-subū
koī nai-navāz thā dam-ba-ḳhud
ki nafas se hiddat-e-jāñ ga.ī
koī sar-ba-zānū thā 'bārbad'
ki sadā-e-dost kahāñ ga.ī
kahīñ naġhmagī meñ vo bain the
ki samā.atoñ ne sune nahīñ
kahīñ gūñjte the vo marsiye
ki 'anīs' ne bhī kahe nahīñ
ye jo sang-rezoñ ke Dher haiñ
yahāñ motiyoñ kī dukān thī
ye jo sā.ebān dhueñ ke haiñ
yahāñ bādaloñ kī uḌaan thī
jahāñ raushnī hai khañDar khañDar
yahāñ qumqumoñ se javān the
jahāñ chyūñTiyāñ huiiñ ḳhema-zan
yahāñ jugnūoñ ke makān the
kahīñ ābgīna ḳhayāl kā
ki jo karb-e-zabt se chuur thā
kahīñ ā.īna kisī yaad kā
ki jo aks-e-yār se duur thā
mire bismiloñ kī qanā.ateñ
jo baḌhā.eñ zulm ke hausle
mire āhūoñ kā chakīda ḳhuuñ
jo shikāriyoñ ko surāġh de
mirī adl-gāhoñ kī maslahat
mire qātiloñ kī vakīl hai
mire ḳhānqāhoñ kī manzilat
mirī buzdilī kī dalīl hai
mire ahl-e-harf-o-suḳhan-sarā
jo gadāgaroñ meñ badal ga.e
mire ham-safīr the hīla-jū
kisī aur samt nikal ga.e
ka.ī fāḳhtāoñ kī chaal meñ
mujhe kargasoñ kā chalan lagā
ka.ī chāñd bhī the siyāh rū
ka.ī sūrajoñ ko gahan lagā
koī tājir-e-hasb-o-nasab
koī dīñ-farosh qadīm hai
yahāñ kafsh-bar bhī imaam haiñ
yahāñ na.at-ḳhvāñ bhī kalīm hai
koī fikrmand kulāh kā
koī da.ave-dār qabā kā hai
vahī ahl-e-dil bhī haiñ zeb-tan
jo libās ahl-e-riyā kā hai
mire pāsbāñ mire naqb-zan
mirā mulk mulk-e-yatīm hai
mirā des mīr-e-sipāh kā
mirā shahr māl-e-ġhanīm hai
jo ravish hai sāhib-e-taḳht kī
so musāhiboñ kā tarīq hai
yahāñ kotvāl bhī duzd-e-shab
yahāñ shaiḳh-e-dīñ bhī farīq hai
yahāñ sab ke narḳh judā judā
ise mol lo ise taul do
jo talab kare koī ḳhūñ-bahā
to dahan ḳhazāne kā khol do
vo jo sar-kashī kā ho murtakib
use qamchiyoñ se zubūñ karo
jahāñ ḳhalq-e-shahr ho mushta.il
use goliyoñ se nigūñ karo
magar aise aise ġhanī bhī the
isī qaht-zār-e-damishq meñ
jinheñ kū-e-yār aziiz thā
jo khaḌe the maqtal-e-ishq meñ
koī bāñkpan meñ thā kohkan
to junūñ meñ qais sā thā koī
jo surāhiyāñ liye jism kī
mai-e-nāb ḳhuuñ se bharī huī
the sadā-ba-lab ki piyo piyo
ye sabīl ahl-e-safā kī hai
ye nashīd nosh-e-badan karo
ye kashīd tāk-e-vafā kī hai
koī tishna-lab hī na thā yahāñ
jo pukārtā ki idhar udhar
sabhī muft-bar the tamāsh-bīñ
koī bazm meñ koī baam par
sabhī be-hisī ke ḳhumār meñ
sabhī apne haal meñ mast the
sabhī rahravān-e-rah-e-adam
magar apne zo'm meñ hast the
so lahū ke jaam uñDel kar
mire jāñ-farosh chale ga.e
vo sukūt thā sar-e-mai-kada
ki vo nam-badosh chale ga.e
koī mahbasoñ meñ rasan-ba-pā
koī maqtaloñ meñ darīda tan
na kisī ke haath meñ shāḳh-e-nai
na kisī ke lab pe gul-e-suḳhan
isī arsa-e-shab-e-tār meñ
yūñhī ek umr guzar ga.ī
kabhī roz-e-vasl bhī dekhte
ye jo aarzū thī vo mar ga.ī
yahāñ roz hashr bapā hue
pe koī bhī roz-e-jazā nahīñ
yahāñ zindagī bhī azaab hai
yahāñ maut meñ bhī shifā nahīñ
wo ajib subh-e-bahaar thi
ki sahar se nauhagari rahi
meri bastiyan thin dhuan-dhuan
mere ghar mein aag bhari rahi
mere raste the lahu-lahu
mera qarya qarya figar tha
ye kaf-e-hawa pe zamin thi
wo falak ki musht-e-ghubar tha
kai aabshaar se jism the
ki jo qatra-qatra pighal gae
kai KHush-jamal tilism the
jinhen gard-baad nigal gae
koi KHwab nok-e-sinan pe tha
koi aarzu tah-e-sang thi
koi phul aabla aabla
koi shaKH marqad-e-rang thi
kai lapata meri lo'baten
jo kisi taraf ki na ho sakin
jo na aane walon ke sath thin
jo na jaane walon ko ro sakin
kai tar saz se kaT gae
kisi mutriba ki rag-e-gulu
mai-e-atishin mein wo zahr tha
ki taDaKH gae qadah-o-subu
koi nai-nawaz tha dam-ba-KHud
ki nafas se hiddat-e-jaan gai
koi sar-ba-zanu tha 'barbad'
ki sada-e-dost kahan gai
kahin naghmagi mein wo bain the
ki samaaton ne sune nahin
kahin gunjte the wo marsiye
ki 'anis' ne bhi kahe nahin
ye jo sang-rezon ke Dher hain
yahan motiyon ki dukan thi
ye jo saeban dhuen ke hain
yahan baadalon ki uDan thi
jahan raushni hai khanDar khanDar
yahan qumqumon se jawan the
jahan chyunTiyan huin KHema-zan
yahan jugnuon ke makan the
kahin aabgina KHayal ka
ki jo karb-e-zabt se chur tha
kahin aaina kisi yaad ka
ki jo aks-e-yar se dur tha
mere bismilon ki qanaaten
jo baDhaen zulm ke hausle
mere aahuon ka chakida KHun
jo shikariyon ko suragh de
meri adl-gahon ki maslahat
mere qatilon ki wakil hai
mere KHanqahon ki manzilat
meri buzdili ki dalil hai
mere ahl-e-harf-o-suKHan-sara
jo gadagaron mein badal gae
mere ham-safir the hila-ju
kisi aur samt nikal gae
kai faKHtaon ki chaal mein
mujhe kargason ka chalan laga
kai chand bhi the siyah ru
kai surajon ko gahan laga
koi tajir-e-hasb-o-nasab
koi din-farosh qadim hai
yahan kafsh-bar bhi imam hain
yahan nat-KHwan bhi kalim hai
koi fikrmand kulah ka
koi dawe-dar qaba ka hai
wahi ahl-e-dil bhi hain zeb-tan
jo libas ahl-e-riya ka hai
mere pasban mere naqb-zan
mera mulk mulk-e-yatim hai
mera des mir-e-sipah ka
mera shahr mal-e-ghanim hai
jo rawish hai sahib-e-taKHt ki
so musahibon ka tariq hai
yahan kotwal bhi duzd-e-shab
yahan shaiKH-e-din bhi fariq hai
yahan sab ke narKH juda juda
ise mol lo ise taul do
jo talab kare koi KHun-baha
to dahan KHazane ka khol do
wo jo sar-kashi ka ho murtakib
use qamchiyon se zubun karo
jahan KHalq-e-shahr ho mushtail
use goliyon se nigun karo
magar aise aise ghani bhi the
isi qaht-zar-e-damishq mein
jinhen ku-e-yar aziz tha
jo khaDe the maqtal-e-ishq mein
koi bankpan mein tha kohkan
to junun mein qais sa tha koi
jo surahiyan liye jism ki
mai-e-nab KHun se bhari hui
the sada-ba-lab ki piyo piyo
ye sabil ahl-e-safa ki hai
ye nashid nosh-e-badan karo
ye kashid tak-e-wafa ki hai
koi tishna-lab hi na tha yahan
jo pukarta ki idhar udhar
sabhi muft-bar the tamash-bin
koi bazm mein koi baam par
sabhi be-hisi ke KHumar mein
sabhi apne haal mein mast the
sabhi rahrawan-e-rah-e-adam
magar apne zo'm mein hast the
so lahu ke jam unDel kar
mere jaan-farosh chale gae
wo sukut tha sar-e-mai-kada
ki wo nam-badosh chale gae
koi mahbason mein rasan-ba-pa
koi maqtalon mein darida tan
na kisi ke hath mein shaKH-e-nai
na kisi ke lab pe gul-e-suKHan
isi arsa-e-shab-e-tar mein
yunhi ek umr guzar gai
kabhi roz-e-wasl bhi dekhte
ye jo aarzu thi wo mar gai
yahan roz hashr bapa hue
pe koi bhi roz-e-jaza nahin
yahan zindagi bhi azab hai
yahan maut mein bhi shifa nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.