shahr ne kaha ganw ne kaha
shahr hañsā aur hañste hañste gaañv se bolā suno suno
ūñche haiñ mīnār mire
baḌe baḌe bāzār mire
careñ sab chamkīlī haiñ
baseñ bhī niilī piilī haiñ
mil bhī haiñ mash.hūr bahut
mehnat-kash mazdūr bahut
gaañv hañsā aur hañste hañste shahr se bolā suno suno
fasleñ merī harī harī
gehūñ kī bālīñ bharī-bharī
log jo sīdhe saade haiñ
dhartī ke shahzāde haiñ
saare ghar ābād raheñ
basne vaale shaad raheñ
ham kahte haiñ donoñ hī tum
apnī jagah par sachche ho
apnī jagah par achchhe ho
shahr hansa aur hanste hanste ganw se bola suno suno
unche hain minar mere
baDe baDe bazar mere
caren sab chamkili hain
basen bhi nili pili hain
mil bhi hain mashhur bahut
mehnat-kash mazdur bahut
ganw hansa aur hanste hanste shahr se bola suno suno
faslen meri hari hari
gehun ki baalin bhari-bhari
log jo sidhe sade hain
dharti ke shahzade hain
sare ghar aabaad rahen
basne wale shad rahen
hum kahte hain donon hi tum
apni jagah par sachche ho
apni jagah par achchhe ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.