shahri sahulaten
hamāre shahr maiñ
jitnā ḳhuun bahtā hai
us se kuchh ziyāda paanī
thoḌī der ke liye
hamāre gharoñ meñ farāham kiyā jaatā hai
jitnī baar ham
operator kī madad se
kisī paḌosī yā dost ke liye
hañgāmī imdād talab karte haiñ
us se bahut ziyāda kā bill
har mahīne hameñ mausūl hotā hai
jitnī der
lā-vāris lāsheñ aur zaḳhmī
murda-ḳhāne aspatāl yā saḌak par
embulance kā intizār karte haiñ
us se kuchh ziyāda der
ham apne bachne kī duā.eñ māñgte haiñ
jitne din insānī jism
jhāḌiyoñ yā men-hole meñ chhupe rahte haiñ
un se kuchh ziyāda din
ham ḳhauf ke aalam meñ
apnī dīvār ke pīchhe
khiḌkiyāñ darvāze band karte hue
guzārte haiñ
hamārī ḳhāmoshī yā hamāre chillāne par
bachchoñ kī tarah
hameñ bahlāyā jaatā hai
pas-māñdagān kī tarah
hameñ marne vāloñ kā
muāvza diyā jaatā hai
sogvāroñ kī tarah
hameñ dilāsā diyā jaatā hai
dostoñ kī tarah hamesha
hameñ apne qarīb rakhā jaatā hai
dushmanoñ kī tarah
ek ek kar ke
ḳhatm kiyā jaatā hai
marne vāloñ kī tarah
jannat meñ jagah milne kī duā ke saath
dūsrī lāshoñ ke ham-rāh
ūpar-tale dafn kiyā jaatā hai
hamare shahr main
jitna KHun bahta hai
us se kuchh ziyaada pani
thoDi der ke liye
hamare gharon mein faraham kiya jata hai
jitni bar hum
operator ki madad se
kisi paDosi ya dost ke liye
hangami imdad talab karte hain
us se bahut ziyaada ka bill
har mahine hamein mausul hota hai
jitni der
la-waris lashen aur zaKHmi
murda-KHane aspatal ya saDak par
embulance ka intizar karte hain
us se kuchh ziyaada der
hum apne bachne ki duaen mangte hain
jitne din insani jism
jhaDiyon ya mein-hole mein chhupe rahte hain
un se kuchh ziyaada din
hum KHauf ke aalam mein
apni diwar ke pichhe
khiDkiyan darwaze band karte hue
guzarte hain
hamari KHamoshi ya hamare chillane par
bachchon ki tarah
hamein bahlaya jata hai
pas-mandagan ki tarah
hamein marne walon ka
muawza diya jata hai
sogwaron ki tarah
hamein dilasa diya jata hai
doston ki tarah hamesha
hamein apne qarib rakha jata hai
dushmanon ki tarah
ek ek kar ke
KHatm kiya jata hai
marne walon ki tarah
jannat mein jagah milne ki dua ke sath
dusri lashon ke ham-rah
upar-tale dafn kiya jata hai
- Book : saarii nazmen (Pg. 447)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.