shahtūt kī shāḳh pe baiThā koī
buntā hai resham ke taage
lamha lamha ḳhol rahā hai
patta patta biin rahā hai
ek ek saañs bajā kar suntā hai saudā.ī
ek ek saañs ko ḳhol ke apne tan par lipTātā jaatā hai
apnī hī sāñsoñ kā qaidī
resham kā ye shā.er ik din
apne hī tāgoñ meñ ghuT kar mar jā.egā!
shahtut ki shaKH pe baiTha koi
bunta hai resham ke tage
lamha lamha KHol raha hai
patta patta bin raha hai
ek ek sans baja kar sunta hai saudai
ek ek sans ko KHol ke apne tan par lipTata jata hai
apni hi sanson ka qaidi
resham ka ye shaer ek din
apne hi tagon mein ghuT kar mar jaega!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.