shahzade
zehn meñ azmat-e-ajdād ke qisse le kar
apne tārīk gharoñdoñ ke ḳhalā meñ kho jaao
marmarīñ ḳhvāboñ kī pariyoñ se lipaT kar so jaao
abr pāroñ pe chalo, chāñd sitāroñ meñ uḌo
yahī ajdād se virse meñ milā hai tum ko
duur maġhrib kī fazāoñ meñ dahaktī huī aag
ahl-e-sarmāya kī āvezish-e-bāham na sahī
jañg-e-sarmāya o mehnat hī sahī
duur maġhrib meñ hai mashriq kī fazā meñ to nahīñ
tum ko maġhrib ke bakheḌoñ se bhalā kyā lenā?
tīrgī ḳhatm huī surḳh shuā.eñ phailīñ
duur maġhrib kī fazāoñ meñ tarāne gūñje
fat.h-e-jamhūr ke insāf ke āzādī ke
sāhil-e-sharq pe gaisoñ kā dhuāñ chhāne lagā
aag barsāne lage ajnabī topoñ ke dahan
ḳhvāb-gāhoñ kī chhateñ girne lagīñ
apne bistar se uTho
na.e āqāoñ kī ta.azīm karo
aur phir apne gharoñdoñ ke ḳhalā meñ kho jaao
tum bahut der bahut der talak so.e rahe
zehn mein azmat-e-ajdad ke qisse le kar
apne tarik gharondon ke KHala mein kho jao
marmarin KHwabon ki pariyon se lipaT kar so jao
abr paron pe chalo, chand sitaron mein uDo
yahi ajdad se wirse mein mila hai tum ko
dur maghrib ki fazaon mein dahakti hui aag
ahl-e-sarmaya ki aawezish-e-baham na sahi
jang-e-sarmaya o mehnat hi sahi
dur maghrib mein hai mashriq ki faza mein to nahin
tum ko maghrib ke bakheDon se bhala kya lena?
tirgi KHatm hui surKH shuaen phailin
dur maghrib ki fazaon mein tarane gunje
fath-e-jamhur ke insaf ke aazadi ke
sahil-e-sharq pe gaison ka dhuan chhane laga
aag barsane lage ajnabi topon ke dahan
KHwab-gahon ki chhaten girne lagin
apne bistar se uTho
nae aaqaon ki tazim karo
aur phir apne gharondon ke KHala mein kho jao
tum bahut der bahut der talak soe rahe
- Book : Kulliyat-e-Sahir (Pg. 79)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.