maiñ ne jaḌ se ukhāḌnā chāhā
us shajar ko jise mohabbat se
maiñ ne ḳhuuñ de ke apnā paalā thā
merī āñkhoñ kā jo ujālā thā
jab na ukhḌā to maiñ ne us kā tanā
tez aare se kāTnā chāhā
aah lekin buland chīḳh us kī
mere kānoñ ne dil-ḳharāsh sunī
us se chhūTā lahū kā favvāra
mere āñgan meñ aaj bhī hai khaḌā
vo shajar
ab zamīñ meñ us kī jaḌeñ
aur gahrī haiñ
pher ke muñh use karāhat se
roz maiñ apnā ḳhuun detā huuñ
shāḳh ke haath se samar us kā
talḳh
nafrat ke saath letā huuñ
main ne jaD se ukhaDna chaha
us shajar ko jise mohabbat se
main ne KHun de ke apna pala tha
meri aankhon ka jo ujala tha
jab na ukhDa to main ne us ka tana
tez aare se kaTna chaha
aah lekin buland chiKH us ki
mere kanon ne dil-KHarash suni
us se chhuTa lahu ka fawwara
mere aangan mein aaj bhi hai khaDa
wo shajar
ab zamin mein us ki jaDen
aur gahri hain
pher ke munh use karahat se
roz main apna KHun deta hun
shaKH ke hath se samar us ka
talKH
nafrat ke sath leta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.