shakespeare
Interesting Fact
Written on William Shakespeare, the greatest English playwright.
is tarah aaj phir ābād hai vīrāna-e-dil
ki hai labrez mai-e-shauq se paimāna-e-dil
dil-e-betāb meñ pinhāñ hai har armān-e-nazar
chashm-e-mushtāq meñ hai surḳhi-e-afsāna-e-dil
aaj sham.oñ se ye kah do ki ḳhabar-dār raheñ
aaj bedār hai ḳhākistar-e-parvāna-e-dil
is ko hai ek faqat dekhne vaalā darkār
tuur se kam to nahīñ jalva-e-jānāna-e-dil
jaag bhī ḳhvāb se ai mashriq o maġhrib ke hakīm
ki tire vāste laayā huuñ maiñ nazrāna-e-dil
ye zarā dekh ki aa.e haiñ kahāñ se donoñ
dil tirī ḳhaak kā dīvāna maiñ dīvāna-e-dil
shauq kī raah meñ ik saḳht maqām aayā hai
mirā TuuTā huā dil hī mire kaam aayā hai
sāqī-e-jāñ tire mai-ḳhāne kā ik riñd-e-haqīr
misl-e-bū toḌ ke har qaid-e-maqām aayā hai
allāh allāh tirī bazm kā ye ālam-e-kaif
mere hāthoñ meñ chhalaktā huā jaam aayā hai
tire naam aaj zamāne ke mahakte hue phuul
'ġhālib' o 'mīr' ke gulshan kā salām aayā hai
vo mirī hasrat-e-derīna kā shahbāz-e-jalīl
kitnī muddat meñ bil-āḳhir tah-e-dām aayā hai
tujh ko bhī dil meñ basāyā hai jo 'iqbāl' ke saath
to kahīñ jā ke ye andāz-e-kalām aayā hai
kyuuñ tujhe ye abadī niiñd pasand aa.ī hai
ai ki har lafz tirā shān-e-masīhā.ī hai
sāqi-e-mai-kada-e-zīst zarā aañkh to khol
tirī turbat pe siyah mast ghaTā chhā.ī hai
jaag bhī ḳhvāb se dil-dāda-e-gulzār-o-chaman
ki tire des kī bāġhoñ pe bahār aa.ī hai
jo tire ghar meñ hai aaj us chamanistāñ ko to dekh
zarre zarre ko junūn-e-chaman-ārā.ī hai
'hathaway' kā hai makāñ vo ki ''maqām-e-nau'' hai
jo bhī ḳhitta hai vo ik paikar-e-zebā.ī hai
kuchh ḳhabar bhī hai ki aivāñ kī hasīñ maujoñ meñ
jo tire daur meñ thī ab bhī vo ra.anā.ī hai
vo tirā naġhma ki sīnoñ meñ tapāñ aaj bhī hai
ahl-e-ehsās kā sarmāya-e-jāñ aaj bhī hai
riñd haiñ mashriq o maġhrib meñ usī ke mushtāq
vo tirā bāda-e-kohna ki javāñ aaj bhī hai
aaj bhī ka.aba-e-arbāb-e-nazar hai tirī fikr
virsa-e-ahl-e-junūñ terā bayāñ aaj bhī hai
aaj se chaar sadī qabl jo chamkā thā kabhī
tire naġhmāt meñ vo soz-e-nihāñ aaj bhī hai
jis meñ hai baada junūñ kā bhī mai-e-hosh ke saath
tire hāthoñ meñ vahī ratl-e-girāñ aaj bhī hai
tū ne tamsīl ke jaade pe dikhāyā jo kabhī
vahī miil aur vahī sañg-e-nishāñ aaj bhī hai
zulmat-e-dahr kī rātoñ meñ sahar-bār hai tū
ziist ik qāfila hai qāfila-sālār hai tū
tū har ik daur meñ hai dīda-e-bīnā kī tarah
har zamāne meñ dil-e-zinda-o-bedār hai tū
jis kī bātoñ meñ dhaḌaktā hai dil-e-asr-e-ravāñ
aaj tamsīl-e-zamāna kā vo kirdār hai tū
kyuuñ na ho lauh o qalam ko tire uslūb pe naaz
hasan-e-guftār hai ganjīna-e-afkār hai tū
bazm-e-jānāñ ho to andāz tirā phuul kī shāḳh
zulm ke sāmne shamshīr-e-jigar-dār hai to
tū kisī mulk kisī daur kā fankār nahīñ
balki har mulk kā har daur kā fankār hai tū
is tarah aaj phir aabaad hai virana-e-dil
ki hai labrez mai-e-shauq se paimana-e-dil
dil-e-betab mein pinhan hai har arman-e-nazar
chashm-e-mushtaq mein hai surKHi-e-afsana-e-dil
aaj shamon se ye kah do ki KHabar-dar rahen
aaj bedar hai KHakistar-e-parwana-e-dil
is ko hai ek faqat dekhne wala darkar
tur se kam to nahin jalwa-e-jaanana-e-dil
jag bhi KHwab se ai mashriq o maghrib ke hakim
ki tere waste laya hun main nazrana-e-dil
ye zara dekh ki aae hain kahan se donon
dil teri KHak ka diwana main diwana-e-dil
shauq ki rah mein ek saKHt maqam aaya hai
mera TuTa hua dil hi mere kaam aaya hai
saqi-e-jaan tere mai-KHane ka ek rind-e-haqir
misl-e-bu toD ke har qaid-e-maqam aaya hai
allah allah teri bazm ka ye aalam-e-kaif
mere hathon mein chhalakta hua jam aaya hai
tere nam aaj zamane ke mahakte hue phul
'ghaalib' o 'mir' ke gulshan ka salam aaya hai
wo meri hasrat-e-derina ka shahbaz-e-jalil
kitni muddat mein bil-aKHir tah-e-dam aaya hai
tujh ko bhi dil mein basaya hai jo 'iqbaal' ke sath
to kahin ja ke ye andaz-e-kalam aaya hai
kyun tujhe ye abadi nind pasand aai hai
ai ki har lafz tera shan-e-masihai hai
saqi-e-mai-kada-e-zist zara aankh to khol
teri turbat pe siyah mast ghaTa chhai hai
jag bhi KHwab se dil-dada-e-gulzar-o-chaman
ki tere des ki baghon pe bahaar aai hai
jo tere ghar mein hai aaj us chamanistan ko to dekh
zarre zarre ko junun-e-chaman-arai hai
'hathaway' ka hai makan wo ki maqam-e-nau hai
jo bhi KHitta hai wo ek paikar-e-zebai hai
kuchh KHabar bhi hai ki aiwan ki hasin maujon mein
jo tere daur mein thi ab bhi wo ranai hai
wo tera naghma ki sinon mein tapan aaj bhi hai
ahl-e-ehsas ka sarmaya-e-jaan aaj bhi hai
rind hain mashriq o maghrib mein usi ke mushtaq
wo tera baada-e-kohna ki jawan aaj bhi hai
aaj bhi kaba-e-arbab-e-nazar hai teri fikr
wirsa-e-ahl-e-junun tera bayan aaj bhi hai
aaj se chaar sadi qabl jo chamka tha kabhi
tere naghmat mein wo soz-e-nihan aaj bhi hai
jis mein hai baada junun ka bhi mai-e-hosh ke sath
tere hathon mein wahi ratl-e-giran aaj bhi hai
tu ne tamsil ke jade pe dikhaya jo kabhi
wahi mil aur wahi sang-e-nishan aaj bhi hai
zulmat-e-dahr ki raaton mein sahar-bar hai tu
zist ek qafila hai qafila-salar hai tu
tu har ek daur mein hai dida-e-bina ki tarah
har zamane mein dil-e-zinda-o-bedar hai tu
jis ki baaton mein dhaDakta hai dil-e-asr-e-rawan
aaj tamsil-e-zamana ka wo kirdar hai tu
kyun na ho lauh o qalam ko tere uslub pe naz
hasan-e-guftar hai ganjina-e-afkar hai tu
bazm-e-jaanan ho to andaz tera phul ki shaKH
zulm ke samne shamshir-e-jigar-dar hai to
tu kisi mulk kisi daur ka fankar nahin
balki har mulk ka har daur ka fankar hai tu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.